Beirut: Lebanon ke dar-ul-hukoomat Beirut ki bandargaah par waqay Ammonium Nitrate ke godaam mein tabah kun dhamakay ke baad 43 meter gehra gadha pad gaya hai. Guzashta mangal ku Beirut ki bandargaah ke sath waqay godaam mein pehlay halka dhamaka huwa tha aur is se dhuwan phela tha. Is ke baad zordar dhamaka huwa tha. Is ki aawaz wahan se 100 mile daur waqay qabras ke jazeeray mein bhi mehsoos ki gayi thi. Dhamakay ke nateejay mein Beirut mein hazaron emiratein zameen bose hogayi ya juzwi tor par tabah hogayi theen.
Americi idaara baraye Geo Physics ke mutabiq is dhamakay ki shiddat 3.3 ki shiddat ke zalzalay ke barabar thi. Lebnani hukkaam ney aitraaf kiya hai ke Beirut ki bandargaah par godaam mein guzashta 6 saal se 2750 ton Ammonium Nitrate zakheera thi. Kisi nagehani waqea ki soorat mein is ke tahaffuz ke liye koi iqdamaat nahi kiye gaye they. Lebnani hukkaam ney ab tak Beirut mein tabah kun dhamakay ke nateejay mein 158 afraad ki halakat ki tasdeeq ki hai aur kaha ke 6 hazaar se ziyada afraad zakhmi hue hain. Beirut ke Governor Marwan Abboud ney kaha hai ke dhamakay se hazaron emiratein tabah honay se kam se kam 3 lakh afraad be ghar hogaye hain.
Wazeh rahay ke dhamakay ki jagah par ban’nay wala garha 2005 hamza mein Beirut ke Airport ki janib jaany wali shahrah par tabah kun bomb dhamakay se padney walay garhay se kahin bada hai. Is Bomb hamlay mein Lebanon ke sabiq wazeer-e-azam Rafic Hariri ke qaafley ko nishana banaya gaya tha aur wo aur un ke muhafiz jaan bahaq hogaye they. Is bomb dhamakay se shahrah par 10 meter chauda aur 2 meter gehra gadha pad gaya tha.
Lebanon ke hukmaran tabqay ki is na-ahli aur awam ke jaan wa maal ke tahaffuz ke liye koi khaterkhah intizamaa nah karne par shehri saraapaa ehtijaj banay hue hain aur is alamnaak waqea ki bunyaad par unhoun ny ek martaba phir hukmaran ishrafia ke khilaaf ehtajaji muzahiray shuru kardiye hain.