Tuesday, April 22, 2025
HomeTrending NewsBeirut ki tamirِ no ke liye 15 Arab Dollar ki zaroorat

Beirut ki tamirِ no ke liye 15 Arab Dollar ki zaroorat

Beirut: Lebanon mein mangal ko hue dhmakon ke baad dar-ul-hukoomat Beirut ki bandargaah sameit deegar tabah shuda maqamat ko mukammal bahaal karne ke liye 15 Arab Dollar tak ka takhmeenah lagaya gaya hai. Lebanon ke aala hukoomati ohdedar ne media se kaha hai ke 15 Arab dollar ke lagaye gaye takhmine mein nuqsanaat ki laagat aur mutasireen ko ada kiye jaane walay muawzay ki raqam bhi shaamil hai.

Lebanon ke sadar ke musheer khazana Charbel Cordahi nay kaha hai ke Lebanon ki 70 feesad tijarat Beirut ki bandargaah ke zariye hoti hai. Is poori tijarat ka sirf 30 se 40 feesad hissa mulk ke Airports aur deegar bandrgahon se mumkin hai, Jabkay shaam ke sath sarhad kholnay se mazeed 20 feesad tijarat mein sahoolat mil sakti hai. Is ka matlab hai ke kam az kam 5 Arab dollar ki dara-amdat mulk mein daakhil nahi ho saken gi, Aur 2 Arab dollar ki baraamdaat aindah 8 mah ke liye band ho kar reh jayen gi. Is se taqreeban 4 Arab dollar ka nuqsaan hoga. Musheer khazana nay wazeh kiya ke bain wazeh kiya ke bain ul aqwami imdaad ke baghair Lebanon is tabahi se akailey nahi nimat sakta.

Lebanon ki Relief Council ke secretary general Mohammad Kheir ke bamujab Beirut ki taamer no ke liye deegar mumalik ki madad darkaar hogi. Hum har ek mulk ke intahi mashkoor hon ge agar wo Beirut ke kisi bhi tabah shuda ilaqay ya muhallay ki tamirno ki zimma daari utha le, Jaissa ke 2006 mein Israeli hamlay ke baad kiya gaya tha. Mohammad Kheir ne be-ghar afraad ki rahaish ke bandobast ke liye bhi appeal ki jo Lebanon ki hukoomat khud muhayya karne ki ahal nahi hai.

Dhamakay ke baais hazaron zakhmi aur taqreeban 3 lakh afraad be-ghar hogaye hain. Beirut ke Governor Marwan Abboud ne zurori nuqsanaat ka takhmeenah 3 se 5 Arab Dollar ke darmain lagatay hue bain aul aqwami community aur Lebanon ke awam se madad ki Appeal ki hai. Sahet ke shobay se wabsta ohdedaron ne media ko bataya ke inhen tibbi saaz-o-samaan ki shadeed kami ka saamna karna pad raha hai, Bilkhushoos surgery mein istemaal honay walay alaat ki qillat hai.

Maahir maholiyaat Mostapha Raad ne kaha ke dhamakay se mahol par honay walay asraat ka andaza lagana filhaal qabal az waqt hoga. Unhoun ne kaha ke is se bhi ziyada tabahi ho sakti thi agar huwa ke zor se Nitric Acid  se bhara huwa dhowen ka baadal samandar ki janib nah badhta. Unhoun ne kaha ke is baat ka khadsha tha ke fiza mein mojood ammonium nitrate mausam ki thandak ka baais ban sakti hai jis ki wajah se Acid ki barish mumkin hai, Lekin fiza ke namonon ke test se maloom huwa ke nitric Acid ka baadal samandar ki janib kahin gayab hogaya tha.