Monday, April 21, 2025
HomeSliderBeirut dhamako se 15 Arab Dollars se ziyada ka nuqsaan

Beirut dhamako se 15 Arab Dollars se ziyada ka nuqsaan

Beirut: Lebanon ke sadar Michel Aoun ne kaha hai ke Beirut bandargaah par dhmakon ke nateejay mein honay walay nuqsanaat 15 Arab Dollar se ziyada hain. Lebanon ki qaumi Information Agency ki Report ke mutabiq sadar Michel Aoun ne Spain ke badshah VI  Felipe VI of Spain ke sath phone par guftagu ki. Unhoun ne Beirut bandargaah par hone walay dhmakon ke dosray maadi nuqsanaat aur mutasirah maqamat ki taamer no ke liye tamirati mawaad ki zaroorat ka zikar kiya aur kaha ke Beirut bandargaah par honay walay dhmakon ke muashi nuqsanaat ka takhmeenah 15 Arab Dollar se ziyada lagaya gaya hai.

Beirut ke Governor Marwan Abboud nay Al Hads Channel ko apne ek sabiq Interview mein kaha tha ke bandargaah dhamakay ke nuqsanaat 10 se 15 Arab Dollar ke darmain hain. Is se qabal bandargaah par honay walay dhmakon se 3 se 5 Arab dollar ke darmain nuqsanaat ka andaza lagaya gaya tha. Americi Institute For Defence Of Democracy ki report ke mutabiq un nuqsanaat se Lebanon ki pareshani mein izafah huwa hai. Lebanon ko apni maeeshat ko bachanay ke liye 93 Arab Dollar tak ki zaroorat hai. Nai Report se ye zahir hota hai ke Beirut ko Lebnani binkari ke shobay ko mustahkam karne ke liye 67 Arab Dollar ke naye malia ki zaroorat hai. Is mein markazi bank ko honay walay 22 Arab dollar ka nuqsaan shaamil nahi hai.

Dhamakay ke baais hazaron zakhmi aur taqreeban 3 lakh afraad be-ghar hogaye hain. Beirut ke Governor Marwan Abboud ne zurori nuqsanaat ka takhmeenah 3 se 5 Arab Dollar ke darmain lagatay hue bain aul aqwami community aur Lebanon ke awam se madad ki Appeal ki hai. Sahet ke shobay se wabsta ohdedaron ne media ko bataya ke inhen tibbi saaz-o-samaan ki shadeed kami ka saamna karna pad raha hai, Bilkhushoos surgery mein istemaal honay walay alaat ki qillat hai.