Kuwait City: Kuwait ne kaha hai ke wo Lebanon ke Beirut dhamako mein tabah honay walay anaaj ke wahid baday godaam ko dobarah taamer kere ga. Tafseelaat ke mutabiq anaaj ke barray godaam ki Beirut dhamako mein tabahi ke baad pehlay se muashi bohraan se nabaradaazma mulk Lebanon mein khoraak ki qillat ka khadsha peda hogaya hai.
Ek lakh 20 hazaar ton gunjaish walay Beirut Port ke godaam ki tabahi ka matlab hai ke anaaj ke bar aamad kannadgan bar-aamdi anaaj ke zakheeray ke liye chhootay aur khangi godamon par inhisaar karen. Muqami radio se guftagu mein Lebanon mein Kuwait ke safeer Abdel Aal Al Qenaei ne kaha ke godaam ko pehli martaba 1969 mein Kuwait ki janib se faraham kiye jaany walay qarzay ki raqam se taamer kiya gaya tha.
Unhoun ne kaha ke Kuwait ab is godaam ko dobarah taamer kere ga kyunkay ye dono mumalik ke darmain taluqaat aur ek dosray ke ehtram ki alamat hai. Khayaal rahay Beirut dhmakon mein 180 afraad halaak aur hazaron zakhmi hogaye they. Dhmakon mein Lebanon ke dar-ul-hukoomat ka bada hissa tabah ho gaya tha jis ke baad hukoomat ko mustafi hona pada tha. Nigran wazeer khazana Riad El Solh ne yaqeen dehani karwai hai ke mulk mein aattay ka bohraan peda nahi hoga.
Lebanon ki doosri badi bandargaah Tripoli mein anaaj ke ek aur godaam ki taamer ka mansoobah ek saal pehlay funds ki Adam dasteyabi par rokk diya gaya tha. Dhamako ke baad insani bunyadon par Lebanon ke liye bairooni imdaad ke aalanat kiye gaye hain. Taham atiyah dahindgaan ne wazeh kiya hai ke mulk mein maojoda badunwaniya ke khatmay ke liye islahat taq wo Lebanon ki madad nahi karen ge.