Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsBeirut dhamako mein bairooni mudakhilat ki bhi tahaqeeq

Beirut dhamako mein bairooni mudakhilat ki bhi tahaqeeq

Beirut: Lebanon ke sadar Michel Aoun ny kaha hai ke Beirut dhmakon ke baad ki jane wali tehqiqaat mein ye haqeeqat dekhi ja rahi hai ke kiya ye dhamakay ghaflat ki wajah se hue, Ye ek haadsa tha ya ye mumkina bairooni mudakhilat hai. Tafseelaat ke mutabiq Lebnani sadar Michel Aoun ny kaha hai ke abhi tak dhmakon ki wajah ka taayun nahi ho saka. Mumkin hai ke Rocket, Bomb ya kisi aur tareeqay se bairooni mudakhilat hui ho.

Unhoun nay kaha ke dhmakon ki tehqiqaat 3 sathon par ho rahi hain, Pehli ye ke dhamaka khaiz mawaad daakhil kaisay huwa aur usay zakheera kaisay kiya gaya, Doosri ye ke kya dhamakay ghaflat ya haadsay ki wajah se hue aur teesri ye ke kya mumkina tor par ye bairooni mudakhilat thi. Mangal ko Beirut mein hue qayamat khaiz dhmkon mein halakaton ki tadaad 137 ho gayi hai aur 5 hazaar se zayed afraad zakhmi hue hain. Lebanon ke dar-ul-hukoomat Beirut bomb dhmakon se mutasirah bandargaah ke 16 mulazmeen ko giraftar karliya gaya hai.

Media ke mutabiq honay walay qayamat khaiz bomb dhmkon mein halakaton ki tadaad 137 ho gayi hai. Beirut mein qaim maqam fouji adalat ke commissioner Fadi Al Haqiqi nay Beirut port ke ohdedaron sameit 16 afraad ki giraftari ka elaan kiya hai. Al Haqiqi nay ek bayan mein kaha hai ke ab tak 18 se zayed afraad se pooch tach ki gayi hai jin mein Beirut bandargaah ke board of Directors, custom intizamia ke ohdedar, Murammat ke kaam ke zimma daar, Ohdedar aur ward number 12 mein intizamia ke ohdedar shaamil hain.

Central Bank ki tehqiqati committee ki khufia dastaweez ke mutabiq markazi bank ny dar-ul-hukoomat ki bandargaah par bomb dhmakon ke baad Beirut bandargaah ke sarbarah Lebnani custom intizamia ke sarbarah aur 5 deegar afraad ke accounts munjamad kar diye hain. Francesi sadar Emmanuel Macron ny Beirut mein dhmakon se tabah honay wali bandargaah aur shehar ke doray ke baad kaha hai ke un ka mulk imdaad corrupt hathon ke hawalay nahi kere ga.

Francesi sadar ne Beirut ke ek roza doray mein tabah shuda shehar ke malbay par khaday ho kar Lebanon ki siyasi leadership ko sakht intibah diya aur kaha ke Lebanon ko siyasi tabdeeli ki zaroorat hai. Unhoun ne kaha ke un ke Lebanon ke doray ka maqsad kisi hukoomat ki himayat karna nahi.