Monday, April 21, 2025
HomeSliderBeirut dhamake, Lebanon mein hukomat ki tabdeli ka imkan

Beirut dhamake, Lebanon mein hukomat ki tabdeli ka imkan

Beirut: Lebanon ke sadar maqam Beirut mein tabah kun dhmakon ke baad Lebnani hukoomat ijtimai isteefay dainay ki taraf ja rahi hai. Mutadid wuzra ne apne ohdon se subukdosh honay ke imkaan ke baaray mein baat ki hai. Khayaal rahay ke Beirut ki bandargaah par tabah kun dhmakon se dar-ul-hukoomat ka beshtar hissa tabah hogaya hai. Dhmakon ke nateejay mein 150 se zayed afraad halaak hue hain jabkay 6 hazaar ke qareeb loog zakhmi hain. Beirut mein lakhoon afraad be ghar bhi ho chuke hain.

Beirut ke sanihay aur is ke nateejay mein peda honay wali afratafri ny jalti par tail ka kaam kiya hai. Awam pehlay hi hukoomat ki bud unwani, Na-ahli aur ghaflat ke baais mushtael they. Lebanon mein jari hukoomat mukhalif muzahiron ke baad Lebanon ki wazeer it-tila-aat Manal Abdel Samad ho gayi theen. Francesi khabar rasan idaray ke mutabiq wazeer-e-itla-aat Manal Abdel Samad ne ek bayan mein kaha ke Lebnani awam ki umangon ko poora nah karne par mazirat chahti hon. Hukoomat se mustafi ho rahi hon.

Dhmakon ke baad honay walay hukoomat mukhalif muzahiron ke baad ye kisi bhi aala ohday daar ka pehla istifa tha. Wazeer it-tila-aat ke baad wazeer maholiyaat ka istifa samnay aaya. Media ke mutabiq wazeer maholiyaat ny ek bayan mein kaha ke unhoun ny Beirut mein bohat badi tabahi ke baad mustafi honay ka faisla kiya hai. Unhoun ny ye bhi kaha ke is hukoomat se ab umeed khatam ho gayi hai. Wazeer maholiyaat ny itwaar ko wazarti ijlaas ke douran wazeer-e-azam Hassan Diab ko kaha ke mere bachon ke dost Beirut dhmakon mein halaak hogaye hain aur mein wizarat ki is zimma daari ko nahi nibha sakta.

Wazarti zaraye ney media ko bataya ke wazeer-e-azam Hassan Diab ney kaha hai ke jin wuzra ney mustafi honay ka iradah kiya hai abhi ruk jayen kabeena paiir ko ijlaas mein ijtimai isteefay dainay ke baaray mein tabadlah khayaal kere gi. Wazeh rahay ke dhmakon se mutasir honay walay hazaron Lebnani shehri Beirut ke markazi ilaqay mein siyasi qayadat ke khilaaf zabardast ehtijaj jari rakhay hue hain. Muzahireen ka mutalba hai ke hukoomat mustafi ho jaye.