Beirut: Lebnani wazeer-e-sahet Hamad Hassan ne kaha hai ke corona ke mareezon se Beirut ke beshtar dawakhane bhar gaye hain. 2 haftay qabal bandargah ke dhamakay ke baad Beirut mein naye coronavirus ke mareezon mein record izafah huwa hai. Website ke mutabiq Lebnani wazeer-e-sahet ne Press Conference mein kaha ke Beirut mein sarkari aur khangi dawakhanon ki soorat be had mushkil hogayi hai. Masnoi tanaffus ke alaat ya intehai nighdasht ke shobo mein mazeed mareezon ke liye jagah nahi hai. Is hawalay se sarkari aur khangi dono shobo ke dawakhane ek page par hain.
Lebnani wazeer nay mazeed kaha ke tabahi ke dhanay par pahonch gaye hain. Taaza sorat-e-haal se nimatnay ke liye pooray mulk mein 2 haftay tak mukammal lockdown lagana hoga taakay Beirut bandargaah ke dhamakay se mutasirah ilaaqon ka tahaffuz kiya jasakay. Ye wo maqamat hain jahan imdadi tanzeemen musalsal kaam kar rahi hain.
Rafik Hariri University Hospital ke Director General, Dr Firas Abiad, Jo corona ke khilaaf jung ki qayadat kar rahay hain, Nay sorat-e-haal ko intahi tashweesh-naak qarar dete hue mutnabba kiya hai ke lockdown ke baghair, Ye tadaad hospital ki gunjaish se kahin ziyada badh se kahin ziyada badhti rahay gi.
Mister Hassan ne Lebanon mein wapas anay walay har ghair mulki par zor diya ke wo is waqt tak apne Hotels ko nah choden jab tak ke un ki jaanch aur safai nah ho. Lebanon ka safar karne walay afraad ko pounchanay se pehlay aur is ke dono waqt azmaish ki zaroorat hogi.
Guzashta 2 hafton ke douran Lebanon mein coronavirus ke musadeqa mareezon ki tadaad mein record izafah dekhnay mein aaya hai. Lebanon mein mutasireen ki tadaad 8881 aur amwaat ki tadaad 103 tak poanch gayi hai.