Monday, May 20, 2024
HomeSliderBeirut dhamakay, 60 tareekhi imaarton ke wujood ko khatrah

Beirut dhamakay, 60 tareekhi imaarton ke wujood ko khatrah

New York: Aqwam mutahidda ke idaara baraye Science-o-saqafat ( UNISCO ) ne mutnabba kiya hai ke August ke awail mein Beirut mein hue dhamakay se aalmi tareekhi virsay mein shaamil 640 imaarton ko nuqsaan pouncha hai aur un mein se 60 ke munhadim honay ka khatrah hai. Tanzeem ne ek bayan mein elaan kiya hai ke is ne ye adaad-o-shumaar Lebanon ki wizarat saqafat ke nawadiraat ke director general Sarkis Khoury ke ek jaiza se haasil kiye hain.

Mister Khoury ne kaha ke Beirut dhmakon mein kam se kam 8 hazaar amarat ko nuqsaan pouncha hai. Un mein se beshtar purani Colonies Gemayzeh  aur Mar Mikhael mein waqay hain. Unhoun ne mutasirah tareekhi imaarton ki fori murammat ka mutalba kiya aur kaha bar waqt un imaarton ki murammat nah ki gayi to mausam khizaa ki barishain un ke munhadim honay ka baais ban sakti hain.

Bayan mein mazeed kaha gaya hai ke dhamakay se mutadid ajaeb gharron jin mein National Museum, Sursock Museum , American University of Beirut Museum, aur saqafati aur mazhabi maqamat aur Gallery ko bhi nuqsaan pouncha hai. UNISCO ney elaan kiya hai ke wo Beirut ke mutasirah tareekhi virsa ki taamer no ke liye wo bain ul aqwami tehreek ki qayadat kere ga. UNISCO ke bamujab wo Beirut dhmakon se mutasirah maqamat ki bahaali ke liye Lebanon aur beron mulk saqafati tanzeemon aur mahireen ki madad le rahi hai.

Khayaal rahay ke 4 August ki shaam ko Beirut bandargaah par huve dhmakon mein ab tak 171 afraad halaak aur 6500 zakhmi ho chuke hain. Un dhmakon ke nateejay mein Lebnani maeeshat ko 15 Arab dollar zuka nuqsaan pouncha hai.