Sabiq Wazeer e Azam Pakistan Nawaz Sharif ki ahliya Begum Kulsoom Nawaz ka London mein inteqaal hogaya. Guzishta raat un ki haalat aik baar phir intehai tashweesh-naak ho gayi thi jis ke baad unhen aik martaba phir ventilator par muntaqil kar diya gaya tha. Begum Kulsoom Nawaz ke lungs ney kaam karna chodh diya tha jis ke baad un ki haalat tashweesh naak batayi jati thi aur unhen ventilator par muntaqil kar diya gaya tha. Muslim League (N) ke Sadar Shahbaz Shareef ney Begum Kulsoom Nawaz ke inteqaal ki tasdeeq kar di hai aur kaha hai ke un ki maiyat Pakistan laane ki koshish ki jarahi hai. Hussain Nawaz ney bhi apni walida ke inteqaal ki tasdeeq ki hai taham abhi hatmi tur par yeh nahi kaha ja sakta ke woh un ki maiyat ke sath Pakistan aa saken ge ya nahi. 68 sala Begum Kulsoom Nawaz Cancer ke aarzah mein mubtala theen aur June se London ke Harley Street Cilinic mein zair e ilaaj theen. April 1971 mein un ki Nawaz Shareef se Shaadi huwi thi. Nawaz Shareef, un ki Dukhtar Maryam aur daamaad Captain (Rtd) Mohammad Safdar Adalat e ehatasab ki janib se July mein corruption ke aik case mein di gayi saza par Rawalpindi mein Adiala jail mein qaid ki saza kaat rahay hain. Nawaz Shareef, Maryam aur Mohammad Safdar ko jail mein Begum Kulsoom Nawaz ke inteqaal se aagah kardiya gaya hai. Wazeer e Azam Pakistan Imran Khan ney Begum Kulsoom ke inteqaal par izhaar e taaziyat kiya hai. Aik bayan mein unhon ney kaha ke qanoon ke mutabiq Kulsoom ke arkaan khandan aur wirsaa ko tamam saholaten faraham ki jayen gi. Wazeer e Azam ney London mein Pakistani High Commission ko hidaayat di ke marhomah ke arkaan e khandan ko tamam darkaar saholaten baham pahonchai jayen. Un ke pasmandgan mein shohar aur do ladke aur do ladkiyan Hasan, Hussain , Maryam aur Asma hain.