Dubai: Mutahidda Arab Emirats mein naye Coronavirus se mutasir honay walay beshtar nojawan hain un ki omrein 20 se 44 baras ke darmain hain. Sawal ye hai ke aakhir Emarat mein Corona se nojawan kyun mutasir ho rahay hain.? Tafseelaat ke mutabiq wizarat sahet ki tarjuman Dr Farida اAl-Hosni ne aitraaf kiya ke ye baat durust hai ke Corona se mutasir honay walay beshtar nojawan hain.
Mahireen nafsiat aur Doctors ne is ke 4 asbaab betaye hain. Nojawanoun ke Coronavirus mein mubtala honay ka pehla sabab ye hai ke wo Virus ko ahmiyat nahi day rahay hain. Dosra sabab ye hai ke wo Doctors ki tanbeya ko nazar andaaz kar rahay hain. Teesra sabab ye hai ke nojawan be ja khoda atmadi ka shikaar hain inhen yaqeen hai ke wo Virus par qaboo palenge. Choutha bada sabab ye hai ke khangi idaroun ke beshtar karkun nojawan hain aur wo apni mulazimat ke hawalay se mukhtalif qisam ki sar garmioun mein masroof rehtay hain aur Virus se bachao ka ihtimaam nahi karte.
Canada ki Ontario University ke Professor Dr. Hussam Al-Tatry ne kaha kay Coronavirus mein nojawanoun ke mubtala honay ki kayi wajohaat hosakti hain. Unhoun ne kaha ke Emarat mein baeshtar nojawan bairooni afraad hain aur mulazmeen ki hesiyat se kaam kar rahay hain. Taajiroun aur sayaho mein bhi badi tadaad nojawanoun ki hai. Jis muashray mein jis Group ke loog ziyada honge wahi mutasir bhi ziyada honge.
Dr Hussam ne mazeed kaha ke beshtar nojawan sahet hidayat ko sanjeedgi se nahi letay. Ahteyati tadabeer nazar andaaz karna un ke khoon mein shaamil hai. Ye baat mushahiday mein aayi hai ke naye Coronavirus ko Media ne hadd se ziyada badhawa diya hai. Aisi soch rakhnay waloun ne Quarantine zawabit ki pabandi nahi ki. Inhen gharoun mein rehne ke liye kaha gaya tha. Kash ye loog ghair mumalik ki taraf dekh letay to pata chalta ke 84 se ziyada mumalik mein Curfew laganay ki koi nah koi to maqool wajah hogi.
Maahir nafsiat Ahmed Al-Saydi ne kaha ke nojawanoun ke Coronavirus mein mubtala honay ki 2 badi wajohaat bataaye hain. Pehli wajah to ye hai ke nojawanoun ka tarz hayaat sanjeedgi aur zimma daari se khaali hai nojawan khud ko kisi baat ka paband banana pasand nahi karte. Doosri badi wajah ye hai ke 20 se 44 baras ke nojawan khangi idaroun par chaaye huve hain aur khangi idaray Online Duty ke usool par bohat kam amal kar rahay hain. –YTN STAFF