Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadBe bas Auto Drivers ki neendain EMI’s se udgayi

Be bas Auto Drivers ki neendain EMI’s se udgayi

Hyderabad: Shehar mein hazaroun Auto aur Taxi Drivers ke liye Lockdown ne nah sirf un ki roz maraah ki kamaai se mahroom kardiya hai balkay gadiyoun ke liye liye gaye qarzoun ki adaigi ki mushkilaat bhi samnay aagai hai.

Bohat se Auto Riksha aur Car malikaan jo Public Transport System ka hissa hain wo khangi Financer se gadiyoun ki maali eaanat haasil karte hain jo pooray shehar mein apne daftar chillatay hain. Gaadi kharidne ke douran Auto Riksha Driver 1 lakh se le kar 1.60 lakh rupay tak Finance uthatay hain jabkay Taxi Driver 2 lakh se 10 lakh rupay tak haasil karte hain.

Puranay shehar ke Kalapathar se talluq rakhnay walay Auto Riksha Driver Shaiq Iftikhar ne kaha Lockdown ke baad gadiyaan band honay ke badan gadiyoun ke malikaan aur Driver bohat pareshan hain. Har mahinay ki pehli aur panchwi tareekh ke darmain hum maali malikaan ke dafatir par mahana aqsat ada karte hain basorat deegar wo jurmana ayed karte hain. Ek maheena ki takheer se 1 hazaar se 2 hazaar rupay ke darmain izafi sood ada karna padta hai.

Ek aur karzz daar ne apni shanakht posheeda rakhnay ki shart par kaha ke Taxis ki sood ziyada hai kyunkay karzzz ki raqam badi hoti hai. Mein ek niji maliyati ku EMI ke liye har mah taqreeban 9000 rupay ada karta hon. Mein ne 6 mah qabal ek second hand Car kareedi thi. Lockdown ki wajah se ab koi kaarobar nahi hai. Abhi tak, EMI ke liye nahi poocha lekin hum pareshan hain ke jab Lockdown khatam hojaye ga to wo kiya karenge.

Amaan nagar ke ek aur Auto Riksha Driver Shahbaz Ahmed ne kaha jab Bank pehlay se chalne walay Auto riksha ya Cars ki Financing nahi karte lehaza hum qarzoun ke liye khangi Financers par inhesar karte hain. Ye loog sadak par tehar jatay hain aur gaadi chean kar le jatay hain.

Unhoun ne hukkaam se Appeal ki ke wo agay ayen aur police mehakma ya niji maalyaat ko EMI ki adayigyoun mein kuch raahat ki pesh kash karen. –YTN STAFF