New Delhi: Hindustani cricket board (BCCI) ne England aur wells cricket board (ICB) se kaha hai ke jaari series ke 5wi aur aakhri test ko dobara schedule kiya jaye kyun ke taza tareen corona mamle ke baad Hindustani khiladiyon ne use khailne mein hichkichahat mehsoos ki hai jiske baad use mansooq kar diya gaya hai. Hindustan 4 test matches ke baad series mein 1-2 se aage hai.
BCCI aur ICB ke darmiyan mazboot taluqaat ki munasibat se BCCI ne ICB ko mansooq shudaa test match ke re schedule ki paish kash ki hai. Dono boards is test match ko dobara schedule karne ke liye ek waqt talash karne ke liye kaam kareinge. BCCI ne ek dubara munaqid karne ke liye kosha hai.
BCCI ne England aur wells cricket board (ICB) ke saath milkar corona ke taaza mamle ke baad Manchester ke old tryford mein schedule 5wa test mansooq karne ka faisla kiya tha. BCCI aur ICB ne test match khailne ka raasta talash karne ke liye kayi daur ki baat cheet ki taa hum Hindustani team ke daste mein covid 19 ke phailne ke baad old tryford test match mansooq karne ka faisle par majboor kiya.
BCCI ne hamesha kaha hai ke khiladiyon ki hifazat aur falah o behbood intehai ehmiyat ki haamil hai aur us pehlu par koe samjhota nahi kiya jayega. BCCI in mushkil waqton mein ICB ke tawun ke liye shukriya adaa karna chahega yaad rahe ke jume raat ko team ke stunt physiotherapy yugesh parmar bhi head coach rawi shastri Bolling coach Bharat arun aur fielding couch R sreedhar ke corona se mutasir hone ke chand din baad corona se mutasir huwe hain.