Hyderabad: Riyasat Telangana mein Bathukamma Sarees ke ghar ghar taqseem shuru hui hai. Covid-19 wabai bemari ke tanazur mein pehli baar musthaqin ko un ki dehleez par Sarees taqseem ki jarahi hain. Riyasat mein 18 saal se ziyada omar ki khawateen ko ek Crore se zayed sarees taqseem karne aur riyasat mein safaid Ration Card rakhnay ke liye 317.81 Crore rupiye kharch hue hain.
Yeh Sarees 287 mukhtalif dizaynon mein tayyar ki gayeen hain jin ke sath sonay aur chandi ke rang ki zari ka kaam kiya gaya hai. 2017 mein Scheme ke aaghaz ke baad se guzashta 4 saal mein 4 Crore Bathukamma sarees ki taqseem ke liye hukoomat ne majmoi tor par 1033 crore rupiye kharch kiye hain. Riyasat mein 26 hazaar Power looms ke zareya taqreeban 30 lakh meter kapda tayyar kiya tha. Bathukamma, Telangana ka phoolon ka tehwar Dussehra ke aas paas manaya jata hai.
Khawateen khaas tor par tarteeb diye gaye phoolon ke gird gaati aur naachti hain. 17 October se shuru honay wala no roza lok Mela riyasat ki bharpoor saqafati shanakht ki akkaasi karta hai. Reyasti hukoomat tamam mazahab se talluq rakhnay walay logoun ke sath yaksaa sulooq karti hai aur Bathukamma, Ramadaan aur Christmas ki taqrebaat ke mauqa par riyasat ki tamam khawateen ko Sarees tohfay mein day jati hain.
Yaad rahay ke is waqt riyasat mein Coronavirus ke phelao ke sad-e-baab ke liye kayi ek iqdamaat kiye jarahay hain aur is wajah se hi pehli martaba Bathukamma sarees ki taqseem muhallay ke muntakhib maqamat ki bajaye ghar ghar pahonch kar taqseem kiye jarahay hain taakay sarees ke husool ke liye awaami ijtima nah ho aur virus ke phelnay ka khadsha khatam hojaye.