Bartania : Ek haerat angaiz waqea mein aqal ko haeran karne wali cheez samnay aayi hai. Dar-asal Bartania ke ilaqay east sinks meinek 60 sala khatoon Debra avlyor ko samandar se aisi seepi ( sea shell ) mili hai, jo al-qayedah ke sabiq sarbarah Osama bin Ladin se kaafi mushabihat rakhti hai.
Tafseelaat ke mutabiq Debra apne 62 sala shohar ke sath apni shadi ki 42 saalgirah mananay ke liye saahil samandar mein moujood theen, jahan inhen pani mein ek choti seepi mili jisay dekh kar woh haeran reh gayeen. Debra ka kehna hai ke jab unhonu ne pehli baar seepi ko pani mein jatay hue dekha to woh taajjub mein padh gayeen aur inhen yeh khayaal aaya ke yeh kis jani pehchani shakal se milta hai, aur unhon ne tertey hue is seepi ko pakadne ki koshish ki.
Unhon ne bataya ke aakhir-kaar badi koshishoun ke baad usay haasil kar liya, aur jab usay dekha to chownk gayeen, kyunkay jab is seepi ko ghour se dekha to, ek pagdi hai, chehra jana pehchana lag raha hai, bohat ghour karne ke baad samajh mein aaya ke is par bani Shabeeh Osama bin Ladin se mumasilat rakhti hai. jabkay is ko dekhnay ke baad deegar logoun ki iski mushabihat Iran ke sabiq supreme leader se ki.
Debra ke mutabiq ”yeh haeran kan baat hai ke Osama bin Ladin ko samandar me daal diya gaya tha, aur yeh unki shakal wali seepi bhi samandar se mili hai.
wazeh ho-ke 8 saal qabal America ne daawa kiya tha ke 1st aur 2 May 2011 ki darmiyani shab Pakistan ke shehar Abbotabad mein ek compound par karwai karte hue al-qayedah ke sarbarah Osama bin Ladin ko khatam kar diya gaya hai. baad mein America ki Janab se yeh bayan aaya tha ke is ne Osama bin Ladin ko samandar mein daal diya hai.
Ab Osama bin Ladin ki shabahat wali yeh cheez waqai herat mein daalnay wali hai. is ko dekhnay par wazeh tor par yeh lagta hai ke waqai yeh Osama bin Ladin hi ki shakal hai. –YTN STAFF