Tuesday, May 21, 2024
HomeHyderabadBartania se aanay walay naye coronavirus se hyderabad bhi mutasir

Bartania se aanay walay naye coronavirus se hyderabad bhi mutasir

Hyderabad: Bartania se wapas anay walay afraad  may Telangana aur Andhra Pradesh se talluq rakhnay walay 2 afraad   Naye coronavirus B1.1.7 ke misbet Natayej aaye hain   jiske baad ye towseeq hogayi hai ke telugu reyaston mein bhi Bartania ke naye coronavirus se dakhla le liya hai. Naya virus jis ki ittila Bartania mein pehli baar di gayi thi yahan se wapas anay walay  dono afraad ke namonon ko center far cellular aur molecular biology ( CCMB ) mein liya gaya.

wizarat sehat aur khandani behbood ( MOHFW )  New Delhi ki taraf se jari kardah ek press release ke mutabiq, majmoi tor per Hindustan bhar se Bartania se aanay walay  6 musafiroun may naye virus ki mojoodgi ki misbet report mili hain. Coronavirus ke naye namonoun se mutasir honay  wale 6 afraad mein se teen  Neemgins, banglore may teen, CCMB Hyderabad mein do aur ek pauney ke NIV mein  reports misbet aayi hain. Riyasat Telangana mein Bartania se wapas aanay walay mutasirah fard ko sarkari dawakhane  may khusoosi qarantina  ward mein daakhil kiya gaya hai. Reyasti sehat ke ohdedaron ne kaha hai  ke misbet report aanay ke baad is mutasirah  shaks ke qareebi raabtey mein anay walay afraad  pehle hi qarantina mein hain aur unki sehat ki sorat-e-haal par kadi nigrani ki jarahi hai.

Bartania, Denmark , Netherlands, France, italy, spain, Switzerland, swedan, Finland, Ireland, Germany, Ice land, Belgium, junoobi Korea , singapore, Japan, samait 20 se ziyada mumalik mein naye  coronavirus ki shanakht pehlay hi hochuki hai jabkay Bartania se shuru honay walay is naye virus se  Hongkong, Australia, canada, Israel, Lebanon aur Hindustan bhi ab mutasirah mumalik ki fehrist mein shaamil ho chukay hain.