Saturday, May 4, 2024
HomeTrending NewsBartania mein corona ki doosri lehar se 1.2 lakh amwaat ka khadsha

Bartania mein corona ki doosri lehar se 1.2 lakh amwaat ka khadsha

London: Science daano ne kaha hai ke Bartania mein mosam e sarma mein coronavirus ki doosri lehar se sirf dawakhanoun mein 1 lakh 20 hazaar amwaat waqay ho sakti hain. Khabar rasan idaray ke mutabiq Academy of medical sciences ki report bananay walay Stephen Holgate ne kaha hai ke 1 lakh 20 hazaar ki tadaad pesh qiyaasi nahi, Khadsha hai.

Unhoun ney mazeed kaha ke is andazay ke mutabiq mosam e sarma mein Covid-19 ki doosri lehar ke douran amwaat ki tadaad ziyada hosakti hai, Lekin is ka khatrah kam ho sakta hai agar hum fori karwai karen. Hukoomat ke Chief scientific Advisors Patrick Vallance ki taraf se jari kardah report mein unhoun ney virus ki doosri lehar ko roknay ke liye fori iqdamaat par zor diya hai.

Pehlay se hi dawakhanoun mein mousmi Flow ke mareez mojood hain aur agar is douran coronavirus ki doosri lehar aajaate hai to rawan saal se September se aglay saal ke June tak 1 lakh 20 hazaar amwaat waqay ho sakti hain. Taham is andazay mein Care Homes aur is terhan ki jaghoun par honay wali mumkina amwaat ko ginti mein nahi laya gaya hai. Bartania mein ab tak coronavirus se 45 hazaar amwaat hochuki hain jo ke pooray Europe mein sab se ziyada hain, Jabkay aalmi satah par America aur Brazil ke baad teesray number par hai. Johns Hopkins University ke adaad o shumaar ke mutabiq naye mamla ke sath duniya bhar mein coronavirus se sab se ziyada mutasir honay walay mulk mein mamlaat ki tadaad 33 lakh 63 hazaar se ziyada hochuki hai.