Monday, May 13, 2024
HomeIndiaBarsaat Coronavirus ko beh le jayega: Mahireen

Barsaat Coronavirus ko beh le jayega: Mahireen

Hyderabad: Kya mausam garma mein Coronavirus ka wabai marz kam hoga? ye sawal crodoun Hindustanioun ke zehan mein gasht kar raha hai lekin Massachusetts Institute of Technology ( MIT ) ke ek tehqeeqi maqalay mein kuch nataij pesh kiye gaye hain aur is tehqeeqi maqalay mein kaha gaya hai ke jin mumalik mein January se Feb aur March ke shuru mein darjaa hararat 18 degree Centigrade se ziyada hai aur ziyada se ziyada nami 6 feesad se bhi kam hoti hai isi terhan mansoun ka saamna karne walay asiayi mumalik bhi Virus ke phelnay mein sust rawi dekh satke hain. Chunkay is mausam mein nami amuman ziyada hoti hai.

Is maqalay mein Coronavirus se mutasirah ilaaqoun ke mausam ke halaat ka tajzia kiya gaya aur musanifeen, Qasem Bukhari aur Yousuf Jameel ke mutabiq tehqeeq ke nataij batatay hain ke 22 March tak 90 feesad naqal o hamal aisay ilaaqoun mein huva jab darjaa hararat 3 se 17 Centigrade tak kam tha. Aur nami 4 se 9 GM 3 ( Gram pani ke bukharat Cubic Meter fi huva ) ke darmain ho.

Taham, Bohat se mahireen sahet ne Singapore aur Thailand mein waqeat ka hawala dete huve kaha hai ke martoob mausam ke douran aam tor par Virus ki muntakili mein izafah hota hai halaank alla darjaa hararat se muntakili mein kami askati hai. Viral Transmission aur nami aur matlug nami ki chuti qader 4 taa 9 GM ke darmain Coronavirus ke 3 lakh 20 hazaar mamlaat darj huve jo mareezoun ki ziyada tadaad hai. Coronavirus ke marz ke baarey mein agarchay Virus ke phelao aur mutlaq nami ke mutaliq tehqiqaat ki jarahi hain.

Is maqalay mein kaha gaya hai ke agar nami ki tarseel mein koi kirdaar ada karta hai to, Shumali America aur Europe ke beshtar hissoun mein is ki muntakili ko mehdood karne ki salahiyat June tak nah honay ke barabar hogi, Kyunkay un ilaaqoun mein ziyada tar 3 taa 9 MG se ziyada nami mehsoos nahi hogi. 15 March ke baad 18 Centigrade se ziyada daraja hararat walay ilaaqoun mein 10 hazaar se ziyada mamlaat ki ittila di jarahi hai. Coronavirus ke phelao ko kam karne mein garam daraja hararat ka kirdaar ke unwan ke tehat ki jaany wali tehqiqaat mein ye baat bhi samnay aayi hai ke shumali America aur Europi shehroun ke beshtar shehroun mein Corona ke phelao ko kam karne mein daraja hararat ka kirdar bhi mehdood ho sakta hai. Tehqeeqi maqalay ke baad umeed ki jarahi hai ke Hindustan mein shayad mansoun mein honay wali baarishein Coronavirus ko beh le jayen gi. –YTN STAFF