Sunday, July 6, 2025
HomeHyderabadBarrister Owaisi ne bhi qabal az-waqat intekhabaat ka yendia dae diya

Barrister Owaisi ne bhi qabal az-waqat intekhabaat ka yendia dae diya

Sadar Majlis Ittehad ul muslimeen wo Rukn e Parliment Hyderabad Barrister AsaduddinOwaisi ney qabal aaz waqt intekhabaat ka yendia dae diya hai. Unhon ney bhi aaj ishara diya hai ke 6th September ko munaqqid shudni cabinet meeting mein riyasti Assembly ki tahleel ka faisla kiya ja sakta hai. Barsar  eqtedaar Telangana Rashtriya Samiti ke sarbarah o Chief Minister Mr.K Chandrashekhar Rao ney un ki Party ki hukoomat ke 4 saal ki takmeel par munaqqid kardah jalsa aam ‘Pragathi Nivedana’ se qabl kuch aisay isharay dae rahae thae jis se yeh samjha ja raha tha ke woh Assembly tahleel karte hue meyaad se qabl intekhabaat munaqqid karwney ke khwaahan hain magar unhon ney Pragathi Ninvedana mein aisa koi elaan nahi kya hai al-batta uss din munaqidah Cabinet meeting ke baad reyasti wuzraa ney yeh bataya tha ke Cabinet ka aik aur ahem ijlaas 6th  September ko munaqqid honey wala hai. Bataya jata hai ke do din baad munaqqid shudni Cabinet Meeting mein Assembly ki tahleel ka faisla kiya ja sakta hai ya phir riyasati  hukoomat ki zamaam mein tabdeeli layi ja sakti hai. Monorities Finance Corporation ki janib se Drivers mein cars ki taqseem ki aik taqreeb se khitaab karte hue Barrister Asaduddin Owaisi ney bhi kuch aisay isharay dyie hain jin se un qiyaas araiyon ko taqwiyat millti hai ke Assembly tahleel karte hue jaria saal Decemeber mein hi Mulk ki deegar chaar riyaston ke sath Telangana Assembly ke liye bhi intekhabaat ko yaqhini baneya jayega. Barrister Asaduddin Owaisi ney kaha ke Cabinet ka 6th  September ko munaqqid shudni ijlaas tareekhi hoga. Yahi nahi balkay unhon ney TRS party qaayedeen se khuwahish ki ke woh Dargaah hazrat Barhana Shah ke ihata mein kampliks ki taamer ka kaam bhi 6th September se qabal shuru kar dein aur gaadiyon ke liye dyie jaane wale  qarza jaat ki maabaqi darkhwaston ki bhi yaksoi kar dein. Unhon ney ishaaron ishaaron mein kaha ke gadiyon ki taqseem se TRS ko intekhabi faida puhanchega chunke ittafaq se TRS ka nishaan bhi car hi hai.