Kuwait City: Kuwait parliment nay wazeer khazana Barrak Al-Shaitan ke khilaaf tehreek Adam aetmaad akseriyat se mustard kar di hai. Kuwait jareeday Al Qabas ke mutabiq wazeer khazana ke khilaaf tehreek Adam aetmaad par raye dahi hui. Har rukan parliament se tehreek ke baaray mein raye pochi gayi.
Parliament ke ijlaas mein mojood 47 arkaan mein se 12 ne tehreek ke haq mein vote diya jabkay 3 ne raye dahi mein hissa nahi liya. 32 ne tehreek Adam aetmaad ki mukhalifat ki. Kuwait parliament ke ijlaas mein raye se qabal garma garam behas hui bada zan tehreek par raye dahi ka faisla kiya gaya tha. Speaker Marzouq Al-Ghanim ne tehreek Adam aetmaad par rahe dahi se qabal tehreek pesh karne walay 2 arkaan parliament Mubarak Al Hajraf aur Riyadh Al-Adsani jabkay tehreek Adam aetmaad ke mukhalif 2 arkaan parliament Dr.Adel Al–Damkhi aur Mohammad Hayef ko bolnay ka mauqa diya.
Tehreek Adam aetmaad pesh karne walon mein Dr. Adel Al–Damkhi aur Adsani ke ilawa rukne insaaf, Omar Al-Tabtabaee, Safa Al Hashem, Saleh Ashour, Aseel al-Awadhi, Khaled AlـSultan, Ahmed Al-Sadoun aur Saad al-Khanfour al-Rasheedi bhi shaamil they. Kuwait parliament ke dakhli zaabtay ki dafaa 144 ke bamujab kisi bhi wazeer ke khilaaf tehreek Adam eatmaad manzoor karwane ke liye arkaan parliament ki aksariyat ki himayat zurori hai. Adam aetmaad ki raye dahi mein wuzra ko vote dainay ka haq nahi khuwa wo rukan parliament hon ya nah hon. Kuwait parliament tehreek Adam aetmaad pesh karne par 7 din se qabal faisla jari karne ki majaz nahi hai.