Sunday, May 11, 2025
HomeHyderabadBarqi Munqata, Kachray Ki Adam Nikasi Aur Mewaoun Ki Qeematoun Mein Achanak...

Barqi Munqata, Kachray Ki Adam Nikasi Aur Mewaoun Ki Qeematoun Mein Achanak Izafay Se Rozay-Daar Pareshan

Hukoomat Aur Mutaliqa Ohdedar Ramadan  Se Qabal Kiye Gaye Wadon Ko Poora Karne Mein Nakaam
Hyderabad:
Mah-Ramadan-ul-mubarak ke aaghaz se qabal hukoomat Telangana aur GHMC ke aala ohdedaron ki janib se mah-e-muqaddas mein awam ko bunyadi sahuliyaat ka behtar nazam wo nasq faraham karne ka na sirf wada kiya  gaya tha balkay shehr ke mukhtalif ilaaqon ka commissionaire Dana Kishore ki janib se dora bhi kiya  gaya tha taakay mah-e-Ramadan  mein bunyadi masail par qaboo paaya jasakay jis mein kachray ki nikasi, ganday pani ke raastoon par bahao ko roknay aur barqi sarbarahi ko 24 ghantay faraham karne ke iqdamaat shaamil they lekin Ramadan  ke aaghaz ke sath hi nah hukoomat ke waday wafa hue aur na hi GHMC ohdedaron ki janib se jin sahuliyaat ka wada kiya  gaya tha woh poooray hotay dikhayi nahi day rahay hain. Ramadan mein barqi sarbarahi aur kachray ki nikasi ka wada karne ke alawa ashyae zaruri aur mewoun ki qeematon par qaboo rakhnay ke waday wafa na ho sakay kyun kay ibtida ke dinon mein hi Hyderabad aur iske judwan shehar Secunderabad ke beshtar ilaaqon se awam ne kayi ek masail ki shikayat ki hain .

Guzashta raat Sayeedabad aur uske atraaf ke ilaaqon mein iftaar ke baad hi barqi sarbarahi munqita hogayi thi jo taqreeban teen ghanton tak awam ko andheray mein rehne par majaboor kar di. shehar hyderabad ke beshtar ilagoun ke awam ne media numainday se izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke hukoomat ne wada kiya  tha ke Ramadan  mein barqi sarbarahi munqita nahi hogi lekin din bhar mein mutadid martaba barqi sarbarahi munqita honay ke alawa iftaar ke baad jo barqi sarbarahi munqita kar di gayi thi woh raat 10 :30 bajey tak bahaal nahi ki gayi halaanke mutaliqa mehakma ko phone karne ki koshish ki gayi to customer care number musalsal masroof bataya ja raha tha. alawa azeen awam ko dosra masla kachray ki nikasi guzashta chand dinon se pabandi se nah honay ki wajah se masail peda ho rahay hain halaanke Ramadan  mein kachray ki nikasi ke liye mehakma baldia ki janib se ziyada tadaad mein aatoz chalanay ka wada kiya  gaya tha lekin secunderabad ke beshtar mehloun khaas kar Rasool pura, gun bazaar   ke ilaaqon mein guzashta kayi dinon se kachray ki nikasi karne wala amlah nahi araha hai aur gharon mein kachray ka dhair lagnay se awam pareshan hain. gharon se woh khud kachray ki nikasi is liye nahi kar saktay kyunkay mehloun mein jo sabiq mein kachra kundiya theen woh ab barkhast kar di gayi hain lehaza inhen ab kachray ki nikasi ke liye jo aadmi unke ghar aata hai iska intzaar karne ke siwa dosra koi rasta nahi hai .

Ramadan  ke aaghaz ke sath hi rozay daaron ke liye teesra bada masla mewaoun ki qeematon mein achanak izafah hai jis par qaboo panay mein hukoomat Telangana nakaam hai. pehlay rozay ke iftaar ke mauqa par awam jab mewa kharednay ke liye qareebi baazaaron mein puhanche to inhen yeh dekh kar badi haerani hui ke jo kal tak pachaas saath rupay kilo ke hisaab se mewa farokht hota tha is ki qeemat achanak dogni hogayi. Ramadan  ke aaghaz se qabal angoor jahan fi kilo 60 taa 80 rupay farokht ho raha tha woh achanak 100 rupiye taa 140 rupay fee kilo hogaya. isi tarhan anannaas ki qeemat bhi 35 taa 50 rupay hochuki hai tarbooz jo ke 40 taa 60 rupay ke darmain farokht ho raha tha woh ab Ramadan  ki wajah se 70 taa 100 rupay hochuka hai .

Masajid ke samnay iftaar ke waqt jo bandiya mewa farokht karti hain un par bhi ek janib behtareen miyaar ka mewa dastyab nahi hai to doosri janib unki qeemat aasman se baatein kar rahi hain. mewa farosh afraad ka kehna hai ke ek janib mausam garma ki wajah se mewaoun ki fasal behtar nahi hui hai jis se wafar miqdar may meway dastyab nahi to doosri janib ab jabkay Ramadan  mein iftaar ke liye har ghar aur daftar ke alawa Masajid mein sawab ki niyat se iftaar karwaya jata hai aur is ke liye mewa ziyada khareeda jata hai, sarbarahi mein kami aur talabb mein izafay ke baais meway ki qeematon mein achanak izafah dekha ja raha hai . –YTN STAFF