Hyderabad: Is waqt ju barqi Bill awam ke hathoun mein thama di gayi hain wo zakhmoun par namak chidaknay ke mutradif hai. Herat zada sarfeen ki shikayat hai ke lockdown muddat ke douran ki janey wali online adayigyan nai faraham kardah Bills mein shaamil nahi ki gayi hain. Kya ye koi zalimana mazaq nahi hai? Bill ki raqam ada karne ke bawajood hamein 3 mah ki bhaari Bill mosal huvi hai. Khangi mulazima Meera nai hukoomat se poochti hain.
Unhoun ne mazeed kaha ke har mah hamara barqi ka Bill 250 se 400 rupay ke lag bhag hota hai. Hum pichlle 3 saloon se Keshwa Nagar colony mein kiraya daar hain. Is mahinay hamein 4303 rupay mein bijli ka Bill mousool huwa jis mein ada shuda mahino ki raqum bhi shaamil hain. Ye double Billling na qabill qubool hai. Agencies ke Customer executive Banu Tija ne kaha ke hamaray makaan ka kiraya khud 3500 rupay hai aur hum itni ziyada raqam ka Bill bardasht nahi kar saktay hain.
Wo loog jo mahana 700-800 rupay ada karte they, Un ko 10000 se zayed ke Bill miley hain. Bills mein wazeh tor par bataya gaya hai ke Billling 90 din ki muddat ke liye ki gayi thi. Sarifeen ko bunyadi tour par 3 aqsam mein taqseem kiya jata hai, 0-100 unit. 100-200 unit aur 200 unit ya is se ziyada. Mahana Tariff fi unit khapat par mabni hai. Misaal ke tor par har mah 199 unit istemaal karne walay shakhs ko taqreeban 500 rupay ka Bill miley ga. Lekin 3 mah ke douran online ada ki jany wali Bills ko is mein dobarah shaamil karliya gaya hai.