Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadBarisho ke 10 din baad bhi Hyderabad ke nashebi ilaqay hanooz pani...

Barisho ke 10 din baad bhi Hyderabad ke nashebi ilaqay hanooz pani mein mahsor

Hyderabad: Shehar Hyderabad mein guzashta chand dinon se sooraj apni poori aabb-o-taab ke sath roshni aur garmi bekhair raha hai aur ab aap samjte hain ke shehar ke jo ilaqay selabi pani ki wajah se buri terhan mutasir hue hain wahan zindagi mamool ki simt aa chuki hai to aap ko apni soch badalny ki zaroorat hai kyunkay baarisho ke 10 din baad bhi Hyderabad ke kayi ilaqay zair aabb hain. Barish ke pani ko beh jane ke liye koi jagah nahi aur haliya mosla dhaar barish ka nishana ban’nay walay mutadid ilaqay ab bhi zair aabb hain. Yeh sorat-e-haal sangeen hogayi hai ke nashebi ilaqon ke awam ne apne ilaqon ko ek baar phir selaab se bachney ke liye pushte lagaye hain.

Badangpet ke Almasguda mein selaab ke pani ko tab hi nikala ja sakta hai jab Meerpet Tank se pani ka ikhraj ho lekin jheel ke doosri taraf ke awam is ke khilaaf hain. Is ki wajah se Sai Balaji Township mein pani jama ho gaya hai aur talaab ki ek parat ban gayi hai. Bastii ke ek 40 sala rehaishi M Sakniya ne kaha ke gharon mein selaab ka pani kam hogaya hai lekin colony ab bhi ghutnon tak paanion mein doobi hai. Jheel ki hifazati committee Almasguda jheel se ziyada pani chodney ki ijazat nahi day rahi hai.

Karmanghat ki Shivaa Sai Colony se talluq rakhnay walay L Ashok Reddy ne kaha ke unhoun ne pani ko gharon mein daakhil honay se roknay ke liye patri banai hai aur mazeed kaha ke hamari agli colony ne bhi aisa hi kiya hai jis ki wajah se yahan pani jama hogaya hai. Muqami awam ki shikayat hai ke gharon mein pani ke dakhilay ko roknay ke liye kiye jane walay earzi intizamaa se kayi ek masail peda ho rahay hain kyunkay awam ki majboori hai ke woh apne apne ghar ki hifazat karen aur pani ko gharon mein daakhil honay se roknay ke liye waqti iqdamaat karen lekin is se Colonies mein pani jama ho raha hai lehaza intizamia ko is simt fori tawajah dainay ki zaroorat hai taakay gharon ku infradi tor par mehfooz bananay ke liye ilawa Colonies se pani ki nikasi ka jald intizam kiya jaye kyunkay tehrey hue pani se wabai bimarion ke photnay ka khadsha hai.