Dubai: Barish rehmat hoti hai lekin jab ye hadd se ziyada hojaye to rehmat ki bajaye zahmat ban jati hai aisa hi kuch Dubai mein huwa jahan barish ki wajah se 154 traffic hadsaat hue hain. Dubai mein operation command ke aala ohdedar Col Turki bin Faris ke mutabiq barish ke baais 154 traffic hadsaat record par aeye hain. Dubai aur Sharjah mein mangal aur Charshumba ki darmiyani shab se shuru honay wali barish Charshumba ko din bhar jari rahi. Jis ke baad hakkaam ne drivers se appeal ki ke wo mausam ki kharabi ke douran ahthyat se gaadi chalayein.
Al Bayan online ke mutabiq Dubai mehakma traffic ke director Brigadier Saif Muhair Al Mazrouie ne kaha ke mutadid sadkain band kar di gayi hain. Traffic hadsaat mein tabah honay wali gadiyon ku raste se hata diya gaya hai. Mosladhaar barish ke baais Dubai Airport parwazoun ke liye band kardiya gaya tha. Mausam behtar honay par Airport parwazoun ke liye dobarah khol diya gaya. Ajman police ke mutabiq barish ke douran riyasat mein koi bada traffic haadsa pesh nahi aaya. Traffic azdhaam zaroor tha taham traffic mein kahin bhi khlal nahi pada.
Mosmiyat ke mahireen ne mausam ki pesh qiyaasi karte hue kaha hai ke mein jumaraat ko mausam juzwi tor par abar alood raha lekin jummay ko baaz maqamat par barish ka imkaan hai. Emarat Al Youm ne Dubai mein mosmiyat ke qaumi markaz ke hawalay se bataya hai ke haftay ki subah tak sahili ilaaqoun, Maghribi jazero aur baaz shumali ilaqa jaat mein barish ka imkaan hai. Zaraye ke mutabiq 1 tarik watan ne kaha ke wo Sharjah se Dubai apne office 4 ghantay mein poanch saka. Jagah jagah sadkain barish ke baais band then ya traffic jam tha. Barish ki wajah se aam zindagi kaafi mutasir hui hai. –YTN STAFF