Monday, May 12, 2025
HomeHyderabadBanks mulazimeen ko dushwaar sorat-e-haal ka samna

Banks mulazimeen ko dushwaar sorat-e-haal ka samna

Hyderabad: Shehar Hyderabad mein Corona ki wajah se Banks mulazimeen ko dushwaar sorat e haal ka saamna karna padraha hai aur khaufzadah mulazimeen ki tadaad mein rozbaroz ezafa hota ja raha hai. Shehar mein sarkari aur Private Banks ki jumla tadaad 5636 hai. Banking shoba ka shumar zarori khidmaat ke zumra mein aata hai. Lockdown ke qawaid mein narmi ke baad ye Banks mukammal tor par kaam kar rahay hain. Un Banks mein taqreeban 50 hazaar mulazimeen kaam kar rahay hain. Jis Bank mein bhi Corona ki jaanch ki jarahi hai, Un mein misbet mamlaat samnay arhay hain.

Corona ki wajah se ta haal State Bank of India ke 2 mulazimeen ki mout hochuki hai. Bank of India Zonal Office, Secunderabad SBI Zonal office, Bank of Baroda ke daftar mein corona ki jaanch ki gayi. Har din kisi nah kisi shaakh mein misbet maamla anay se sansani phail rahi hai. Corona ke mamlaat mein izafah ke pesh e nazar Banks ke auqaat mein kami karne aur har 1 din ke waqfa ke baad Banks ke kaam karne ko yakeeni bananay ka mutalba kiya jaraha hai.

Taqreeban 50% mulazimeen ke sath kaam karne se sath sath hafta ko tateel ka elaan karne wuzra ke Tarik Rama Rao, Harish Rao, Niranjan Reddy se United Forum Of Bank Union Telangana Branch ne maktoob rawana kiya hai. Wazeer zaraat Niranjan Reddy se shakhsi tour par mulaqaat karte hue un ko masail se waaqif bhi karwaya gaya aur is maamla mein policy faisla lainay ke liye mudakhilat karne ki khwahish ki gayi . OFBA, AIBOC ke leaders nay is silsila mein Chief Secretary Somesh Kumar se bhi mulaqaat karte hue masail se waaqif karwaya. Union ke Leaders nay kaha ke reyasti hukoomat, Reyasti satah ki Bankers Committee se misbet rad-e-amal milnay par mustaqbil ke laihe amal ka elaan kiya jaye ga. Mulazimeen aur ohdedaroun ki Union ke numaindoun ke ijlaas mein aindah ke faisla ka elaan kiya jaye ga.