Dubai : Bangladeshi cricket team ke captain Shakib al Hasan ke mujawaza dora-e-hind par aamad ghairiqini sorat-e-haal ka shikaar thi lekin ab ICC ki janib se un par 2 saal ki pabandi Ayad kardi gayi hai aur Bangladesh cricket board ( BCB ) ke sadar Najam ul Hasan ne kaha hai ke Shakib al Hasan ke dora-e-hind par mojoodgi par sawalia nishaan tha kyunkay 2 baras qabal unhon ne satta bazoo ki janib se unse rabita karne ki tafseelaat se hukkaam ko aagah nahi kiya aur is bartao per unse sawal kiya jaraha hai.
Is tanazur mein star all rounder Shakib al Hasan par mubayyana tor par 18 mah ki pabandi aaed honay ka khadsha zahir kiya ja raha tha jiski wajah se Bangladeshi cricket team ke dora-e-hind se qabal BCB ki pareshaniyon mein izafah hogaya.
Bangladesh ki cricket team apne dora-e-hind ka aaghaz 3 November ko 3 20-20 muqablon ke pehlay match se karegi jiske baad 2 test muqablay bhi khele jane hain. Bangladesh ke ek Maroof bangali roznama ke mutabiq ICC ki janib se israar par Shakib al Hasan ko BCB ne dora hind ke liye team ki practice se door rakha gaya tha. yahi wajah hai ke Shakib al Hasan na practice games ka hissa banay aur nah hi guzashta raat hue ijlaas mein woh shareek bhi nahi hue jaissa ke yeh ijlaas kolkata mein hindustan ke khilaaf day night tst ke zimn mein munaqqid kiya gaya tha.
Yaad rahay 2 saal qabal mobayyana tor par ek sattay baz ne bain ul aqwami muqaabla mein Shakib al Hasan se rabita kiya tha lekin Shakib al Hasan ne iski ittila ICC ke anti corruption and security unit ( ICCU ) ko nahi di thi aur qanoon ki shaqq 2.4.4 ki khilaaf warzi ki Padaash mein un par yeh pabandi Aaed ki gayi hai. akhbar ke mutabiq shakib ne haal hi mein ICCU ke tafteeshi ohdedaron se is barey mein aiteraaf kiya hai.
BCB ke sarbarah Nizaam ul Hasan ko 32 sala Shakib al Hasan ka rawayya ajeeb wo ghareeb nazar aaney laga hai. shakib jo kay Bangladesh ke kamyaab tareen khiladion mein shumaar kiye jatey hain jinhon ne tenu tarz ki cricket mein 11000 se zayed runs aur 500 se ziyada wickten bhi hain. nizaam ul Hasan ne roznama daily star se izhar-e-khayal karte hue kaha ke doura-e-hind ke liye tamam mansoobah bandi sahih simt gamzan hai aur agar koi dora par nahi jana chahta hai to koi masla nahi hai taham usay jaldi board ko aagah karna hoga. unhon ne mazeed kaha ke shakib ka aisa rawayya pehlay nahi tha. wajohaat jo bhi ho meri tavajja dora hind par markooz hai aur mai khiladiyoun ke mutaliq ziyada fikarmand nahi hon kyunkay agar koi khiladi daur-e-hind par jana nahi chahta hai to hamaray paas mutabadil khiladi mojood hai.
Meerpur mein practice game ke alawa pari tour camp se mahroom rehne ke baad Shakib al Hasan ki hindustani dora par team ki qayadat aur mojoodgi ghiriqini sorat-e-haal ka shikaar hochuki thi. team ko chaharshambe ke din hamsaaya mulk rawana hona hai aur Shakib Al Hasan ki Adam mojoodgi mein team ke senior tareen khiladi Mushfiq al raheem test mein team ki qayadat kar saktay hain jabkay 3 twenty 20 muqablon mein Mehmood ullah Riaz aur musaddiq Hussain mein kisi ek ko captain banaya jasakta hai. Eden garden mein day night test ki tajweez di hai. dono teamon ke darmiyan pehla twenty 20 muqaabla 3 November ko khela jayega jis ke baad 14 November ko world test championshiop ka Indore mein aaghaz hoga jabkay eden gardens mein 22 November ko day night test ke aaghaz hoga. –YTN STAFF