Friday, April 26, 2024
HomeSliderBangladesh mein pehli metro train ka aazmayesh safar kamiyab

Bangladesh mein pehli metro train ka aazmayesh safar kamiyab

Dhaka: Darul hukoomat Dhaka mein Bangladesh ki pehli metro rail ne 20.1 kilometer project ke ek hisse par aazmayesh run mukammil kiya jise maas rapid transet line -6(MRT6) kaha jaata hain road transport aur pallu ke vazeer ubaid ul qadir ne Dhaka ke dippo mein is tijarati run ko jhandi dikhai ek train jo 6 dabbon par mushtamil hoti hain…apne dibbon se safar kiya hain aur bagair kisi musafir ke apne raste mein 3 station uboor kiya hain… vazeer ke mutabiq agar tamaam aazmayesh aur muaena theek hogaya toh train ko agle saal awaami istemal ke liye shuroo kiya jaeiga jab mulk ke do mazeed megha infrastructure mansoobon ba shamool padma bridge aur kranfoli daryaein tanal ka bhi iftetah kiya jaeiga.

Dhaka maas transport company limited (DMTCL) jo ke ek sarkari idara hain..china Japan aur deegar mumalik ki companyon ke tawun se 20.1 kilometer ki metro rail line 16.6 elieveted station aur bijli se chalne wale light rail track par mushtamil hain….

China sarkari milkiyat sino hitedro corporation limited aur atalwi thai development public company limited jo thailand mein muqeem ek tameerati company hai..is company ko may 2017 mein MRT line 6 ke liye siwal tameerat karne ka maida kiya gaya tha… February 2013 mein Bangladesh ne Japan international co-operation agency ke saath 3 marahil mein naafiz hone wale metro rail mansoobe ki maali eyanat ke liye qarz ka maeda kiya …

Qabl azeen ek auhdedar ne kaha hai ke metro rail ki over head tameer bangladesh hukoomat ki Dhaka mein traffic ko rokne ki koshish me madad dein sakti hain…ek baar jab yeh project nafiz ho jayega 6 air condition kushada kuchon wali train har char minutes mein dastiyab raheigi aur har ghante mein taqreeban 60 hazar musafiro ko manzil ki simt le jaeigi.