Dhaka : Aaindah mah Bangladeshi team ko hindustan ka doura karna hai aur mezban team ke sath 3 T20 aur 2 test muqablay khelna hai jis mein Calcutta ke Eden gardens mein muqarara test day night muqablay ho sakta hai jo kay is tarz ka hindustan ke liye awleen muqaabla hoga lekin iske bar-aks Bangladesh cricket board ke sadar nizaam ul Hasan ne ilzaam lagaya hai ke Bangladeshi cricket team ke dora Hindustan ko kuch log musalsal sabotage karne ki koshish kar rahay hain jis mein khiladion ke 11 nakati mutalibaat ke zareya hadtaal karna bhi shaamil hai.
Bangladeshi cricketers ne board ki janib se un ke mutalibaat ko tasleem karne jis mein khaas kar bain ul aqwami aur gharelu satah par khiladion ki tankhwahon mein izafah bhi shaamil hai, ke sath deegar mutalibaat ko bhi qubool kiya hai aur yeh hadtaal Hindustan ke doura par teen twenty 20 muqablon aur do test muqablon ke shuru honay se chand din qabal hui thi. bangali roznama parwatham aalo se izhar-e-khyal karte hue Bangladesh cricket board ke sadar Nizaam ul Hasan ne media numaindon se kaha ke aap ne dora hind ke mutaliq abhi kuch nahi dekha hai thoda intzaar karen aur dekhen. agar mein kahoon ke Hindustan ke dora ko sabotage karne ki koshish ki jarahi hai aur iske mutaliq mujhe khaas maloomat haasil hui hain, to aap mujh par bharosa karenge.
Jab unse poocha gaya ke woh is tarhan kyun sochte hain to unhon ne wazahat karte hue kaha ke jis terhan Tamim Iqbal ne dora hind se apni ahliya ke haamla honay ki wajah batatay hue dast bardari ikhtiyar ki halaanke unhon ne ibteda may sirf yeh kaha tha keh woh aakhri test mein shirkat nahi kar payen ge lekin woh ab mukammal dora se dastbrdar hain. unhon ne mazeed kaha ke Tamim ne ibteda may unse Calcutta mein 22 taa 26 November kheilay janay walay test se doosri aulaad ki paidaiesh ki wajah se dastbrdar hona chahtay hain lekin ab pooray dora se hi dastbrdar ho chukay hain. jab mein ne unse poocha ke woh poooray dora se dastbrdar kyun ho rahay hain to unhon ne sirf itna kaha ke woh Hindustan ka dora nahi karna chahtay. Bangladeshi team 30 october ko nai Dehli pohancheagi lekin is se qabal chand mazeed khiladion ke dora se dastbrdar honay ka imkaan hai.
Unhon ne mazeed kaha ke tamam ke waqea ke baad mujhe ab yeh dekh kar haerat nahi hogi ke dora se chand ghantay qabal koi aur bhi dast bardari ikhtiyar karsaktha hai. Nizaam ul Hasan ne kaha hai ke mein abhi tak yeh yaqeen nahi karparaha hon ke aisa kyun ho raha hai. mein Rozana unse tabadlah khayaal kar raha hon. Neez unhon ne hadtaal karne se pehlay mujhe iska ishara tak bhi nahi diya. sadar ke mutabiq shayad unki yeh ghalti hai ke unhon ne khiladion ke tamam mutalibaat maan liye hain aur shayad mujhe aisa nahi karna chahiye tha. wazeh rahay in dinon Bangladeshi cricket khiladion aur board ke darmiyan ikhtilafat ki wajah se bohrani sorat-e-haal ka shikaar hai. –YTN STAFF