Bangaluru: Karnataka ke dar-ul-hukoomat Bangaluru mein mangal ki raat shuru honay walay tashadud ke douran musalmanoon ne mandir ko bacha kar ittehaad ka jazba zahir kiya. Bangaluru ki tang galion se janam lainay wali tashadud aur wehshat ki dastanoon ke darmain Bangaluru ke ilaqay Pulakeshinagar mein musalmanoon ke ek giroh ne mandir ko bacha kar ittehaad ka jazba zahir kiya.
Bengaluru Police ke Commissioner Kamal Pant ney Media ko bataya “Police Firing se 3 afraad halaak hogaye”. Unhoun ney mazeed kaha ke Pulakeshinagar mein pesh aeye waqeat ke silsilay mein 110 afraad ko giraftar kiya gaya hai.
Commissioner Of Police ney mazeed bataya ke mangal ki raat shuru honay walay is tashadud mein 50 ke qareeb police ehalkaron sameit mutadid afraad zakhmi hue. Ye waqea is waqt pesh aaya jab Congress qaideen ke rishte daar ney paighambar Hazrat Mohammad ﷺ ki shaan mein Facebook par gustakhana khanah post shaya kiya.
Thiruvananthapuram se Congress rukan parliament Shashi Tharoor ( Sashi Tharoor ) ney likha’ jin logon ney uksaya inhen giraftar kiya jana chahiye aur saza miley. Lekin poori baradri ek terhan ki nahi hai. Jaisay sabhi thugs Hindu mazhab ki numaindagi nahi karte hain. Banglore mein ye bhi huwa.
Ek News Agency ke mutabiq, Police ne ittila di ke loog Congress rukan Assembly ke ghar ke qareeb jama hue aur toad phod ki. Is ke baad hujhoom ne ye soch kar thaanay ko nishana banaya ke police ne mulzim ko wahan hirasat mein le rakha hai. Rukan Assembly ne baradri ke logon se tashadud nahi karne ki Appeal ki hai.