Sunday, April 28, 2024
HomeIndiaBangalore tashadud se mutaliq Srikanth Babaladi Report mutassbana hai: SDPI

Bangalore tashadud se mutaliq Srikanth Babaladi Report mutassbana hai: SDPI

Bangalore: Social Democratic Party of India ( SDPI ) Karnataka ke reyasti sadar Ilyas Mohammad ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein kaha hai ke Citizen for Democracy ke naam se Bangalore tashadud ke mutaliq Srikanth Babaladi Report ko mutassbana aur haqayiq se daur qarar diya hai. Is Report par sakht Notice letay hue SDPI reyasti sadar Ilyas Mohammad ne kaha hai ke yeh Report sangh pariwaar ki saazish ki chupaney ki mazmoom koshish hai kyunkay is Report mein naeen ke ihaanat Rasool ﷺ walay cartoon post ke talluq se koi zikar nahi hai aur nah hi is shararat aur aur sharangizi ke peechay jo anasir hain un ke baaray mein bhi koi zikar nahi hai.

Ilyas Mohammad Tambe ne apne akhbaari aalamia mein is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha hai ke koi bhi Srikanth Babaladi ki team se haqayiq ki tawaqqa nahi karsaktha kyunkay team mein shaamil tamam membraan ya to BJP ya sangh pariwaar ka pas manzar rakhtay hain. Report mein hukoomat aur police ki qabil reham nakamiyoo ke baray mein kuch nahi kaha gaya hai aur mazhaka khaiz tor par ( SDPI ) Social Democratic Party of India aur ( PFI ) Popular Front Of India ka naam ghasita gaya hai. Darasal, Waqea ke din muqami SDPI ke rehnumao ke sath police ne mushtael hajhoom ko pur aman karne ki bhar poor koshish ki thi.

Taham, Awam ko maloom hai ke police ny inhen reyasti BJP hukoomat ke dabao mein aakar Bangalore tashadud report muamlay mein mulawis qarar diya hai. wazhe rahe ke pechle mah Bengaluru Police ke Commissioner Kamal Pant ney Media ko bataya “Police Firing se 3 afraad halaak hogaye”. Unhoun ney mazeed kaha ke Pulakeshinagar mein pesh aeye waqeat ke silsilay mein 110 afraad ko giraftar kiya gaya hai. Karnataka ke reyasti SDPI ke sadar Ilyas Mohammad Tambe ny intibah kiya aur kaha ke Srikanth Babaladi ki aisi haqaaiq se daur jhooti aur mutassbana Report riyasat aur logon ke liye bohat nuqsandah hai.