Thursday, May 2, 2024
HomeSliderBangalore ki Punjab ke khilaaf muqablay mein Playoff par nazrain

Bangalore ki Punjab ke khilaaf muqablay mein Playoff par nazrain

Sharjah: League mein musalsal naaqis karkardagi ka muzahira karne wali KL Rahul ki zair qayadat Kings XI Punjab jumaraat ku Captain Virat Kohli ki qayadat mein Royal Challengers Bangalore ke khilaaf ghair mamooli karkardagi ka muzahira karte hue wapsi ke iraday se utre gi to doosri janib Kohli ki team Tournament ke aglay marhalay mein apni rasai ke imkanaat ko mustahkam karne ki khwahan hai. Bangalore ne aakhri match mein Kolkata Knight Riders ko 82 runs se shikast di thi jabkay Kolkata ke khilaaf Punjab ko 2 runs se shikast ka saamna karna pada tha. Bangalore ke 7 Matches mein 5 fatohat aur 2 shikast ke sath 10 nishanaat hain aur teams ke Point Table mein teesray number par hai jabkay Punjab 7 Matches mein 1 kamyabi 6 shikast ke baad 2 point ke sath table mein sab se neechay 8 number par hai.

Bangalore ne Kolkata ke khilaaf har shobay mein behtar karkardagi ka muzahira kiya aur har shoba mein Kolkata ko shikast di. Bangalore ke liye Captain Kohli ne bhi behtar karkardagi ka muzahira kiya aur not out 33 runs banaye. Is ke ilawa Ab de Villiers 73 not out ne bhi tofani inning kheli. Dono ke darmiyan 100 runs ki shiraakat ki badolat Bangalore ne Kolkata ke khilaaf 194 runs banaye. Bangalore ki janib se opener Devdutt Padikkal ne 32 runs banaye thay aur team ko mazboot aaghaz faraham kiya tha. Bangalore ki umeeden ek baar phir Padikkal aur Aaron Finch par hon gi jinhon ne Kolkata ke khilaaf pehli wicket ke liye 67 runs ki shiraakat ki. Un dono ko Punjab ke khilaaf mazboot aghaz karna hoga taakay un par dabao badaya jasakay.

Bangalore ke liye middle order mein Kohli, AB de Villiers aur Washington Sundar jaisay khiladi mojood hain jo kisi bhi team ke houslon ko pust karne ke ahal hain. Guzashta match mein jis terhan AB de Villiers ne batting ki thi is se Punjab ke liye bohat pareshani ka sabab ban sakta hai aur Punjab ko inhen jald hi rokna pade ga. Bangalore ke shoba bowling ne bhi Kolkata ke khilaaf zabardast karkardagi ka muzahira kiya tha. Punjab ke batsman Yuzvendra Chahal, Washington, Chris Morris aur Navdeep Saini ke Challenge ka muqaabla karen ge. Bangalore ke captain Kohli ne bhi Kolkata ke khilaaf match ke baad aitraaf kiya tha ke Morris ki team mein shamoliat ki wajah se team ka bowling shoba mazboot huwa hai.

Punjab ke liye yeh aar paar ka muqaabla hai kyunkay is ke paas wapsi ka ziyada mauqa nahi bacha hai. Agar Punjab yeh match haar jata hai to un ke liye Playoff ka rasta bohat mushkil hoga. Punjab ke paas 7 match baqi hain aur aakhri 4 teams mein aasani se pounchanay ke liye usay tamam match jeetna hon ge.