Sunday, May 19, 2024
HomeSliderBangalore aur Rajasthan mein qayadat aur khail ka dilchasp takrao mutawaqqa

Bangalore aur Rajasthan mein qayadat aur khail ka dilchasp takrao mutawaqqa

Abu Dhabi: Kamyabi ki raah par wapsi karne wali Royal Challengers Bangalore ki team Rajasthan Royals ke samnay haftay kaaf honay walay IPL muqablay mein sakht challenge dainay ke maqsad se maidan mein utregi. Bangalore ke Captain Virat Kohli apne aakhri match mein difai Champion Mumbai Indian ku super over mein shikast dainay ke baad pur josh nazar arhay hain aur un ki poori koshish hogi ke kamyabi ke silsilay ko Rajasthan ke khilaaf muqablay mein bhi barqarar rakha jaye.

Kohli ke samnay Australia ke Stevin Smith ke tor par Rajasthan ka aisa Captain hai jo inhen challenge day sakta hai halaank Rajasthan ki team ko apne guzashta muqablay mein Kolkata Knight Riders se 37 runs ki shikast bardasht karni padi thi. Rajasthan ki 2 fatohat ke baad yeh pehli shikast thi aur Smith ko maloom hai ke Bangalore ke khilaaf inhen wapsi karni hogi kyunkay musalsal 2 shikast se team ke form par zabardast assar pad sakta hai. Rajasthan ne 3 matches mein 2 fatohat haasil ki hai aur ek mein usay shikast hui hai. Woh points table mein chouthay number par hain. Is se ek maqam peechay panchwin number par Bangalore hai, Jis ne 3 mein se 2 match jeetay aur ek mein shikast hui hai.

Bangalore ki team ne aakhri match mein opener Devdutt Padikkal ( 54 ), Aaron Finch ( 52 ), AB de Villiers ( not out 55 ) aur Shivam Dube ke not out 27 runs ki madad se 3 wicket par 201 run banaye thay jabkay Mumbai ne 5 wicket par 201 runs banaye thay. Score barabar raha aur faisla ke liye match super over mein chala gaya. Bangalore ke captain Kohli ne super over mein faateh runs banaye. Batting ki yeh karkardagi Kohli ke liye hosla afzaa saabit hosakti hai. Doosri janib Rajasthan ki guzashta match mein batting mayoos kun thi. Kolkata ne 6 wicket par 174 runs ka score banaya tha jis ke baad Rajasthan ke Batsman 9 wickets par 137 runs hi bana sakay. Rajasthan ne apne pehlay 2 muqablay 200 se zayed ka score karkay jeetay thay lekin aakhri match mein team ki mayoos kun batting un ki shikast ki wajah bani. Chouthay match mein Smith ko team ki batting mein islaah karna hoga tabhi team form mein wapsi kar sakay gi.