Abu Dhabi: IPL 13 ab apne faisla kun marhalay par pahonch raha hai aur yahan se har match har team ke liye ahem saabit honay wala hai Table Point mein teesray maqam par mojood Royal Challengers Bangalore aur chouthay number par Kolkata Knight Riders ke mabain match mein dono teams Playoff mein apne daaway ko mustahkam karne ke iraday se utrain gi.
Bangalore 9 matches mein 6 fatohat, 3 nakamiyoo aur 12 nishanaat ke sath teesray number par hai. Bangalore ko Playoff mein jagah bananay ke liye apne baqi 5 Matches mein se sirf 2 fatohat ki zaroorat hai. Virat Kohli ki zair qayadat Bangalore team ke paas pehli 2 teams mein jagah bananay ka mauqa hai. Doosri taraf England ke Eion Morgan ki zair qayadat Kolkata bhi 9 match khail chuka hai aur woh 5 fatohat, 4 shikast aur 10 nishanaat ke sath chouthay number par hai. Kolkata ko Playoff mein jane ke liye baqi 5 matches mein se 3 match jeetnay ki zaroorat hai. Kolkata ko Bangalore se ziyada challenge ka saamna hai kyunkay is ki karkardagi mein ziyada utaar chadhao dekhnay ko mil raha hai.
Sharjah mein Bangalore aur Kolkata ke mabain is IPL ke pehlay match mein Bangalore 82 runs se kamyaab raha tha. Kolkata ki team Bangalore ke 194 runs ke khilaaf 112 runs bananay mein kamyaab rahi thi. Dono teams apne pichlle muqablon mein kamyabi haasil ki hain jis se un ke hauslay buland hain. Bangalore ne Dubai mein Rajasthan Royals ku 7 wickets se shikast di thi jabkay Kolkata ne Abu Dhabi mein super over mein Sunrisers Hyderabad ku maat di thi.
Bangalore ke Captain Kohli ko ek baar phir apne dhamaka khaiz batsman Ab de Villiers se umeed rahay gi jinhon ne Rajasthan ke khilaaf na qabil-e-shikast 55 runs banaye thay. Bangalore ki team is season mein zabardast taal mein nazar aa rahi hai aur aglay matches mein bhi is taal ko barqarar rakhna chahay gi. Kohli ne kaha ke team mein har shakhs infiradi tor par apna hissa ada kar raha hai aur hum Tournament mein mustaqil tor par aisa karne mein kamyaab rahay hain lehaza hamaray paas 12 points hain. Mein abhi bohat khush hon aur hum aglay match ke liye tayyar hain. Ab de Villiers is IPL ke behtareen khiladi hain. Jab woh craze par hotay hain to hareef team ka hosla khud pust hojata hai aur is ke jeetnay ka imkaan kam hi lagta hai. Ab de Villiers ke liye yeh kaafi acha hai. Un ki wajah se team ko lagta hai ke hum kabhi peechay nahi reh satke.
Kohli ne kaha ke nojawan Devdutt Padikkal bhi umdah batting kar rahay hain aur Aaron Finch ne bhi umdah Innings khili hai. Hum sorat-e-haal par mabni apni hikmat-e-amli banatay hain. Hamari bowling bhi is season mein achi rahi hai. Chris Morris behtareen hain. Navdeep Saini, Washington Sundar aur Isuru Udana ne bhi umdah karkardagi ka muzahira kiya hai. Kolkata ne Super over mein Hyderabad ke khilaaf apna match jeet kar apni umedon ko taqwiyat bakhsh hai. Fast bowler Lockie Ferguson ne match mein 15 run par 3 aur super over mein 3 gaindon par 2 run dekar 2 wicket haasil karkay match jetwaya tha. Ferguson ki team mein shamoliat Kolkata ke liye jackpot saabit hui hai aur team ki bowling mazboot hui hai. Morgan umeed kar rahay hon ge ke team apni jeet ka silsila barqarar rakhay aur Bangalore ku honay walay pichlle nuqsaan ki talaafi kere.