Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaBandaroun ki dehshat ki parliament mein goonjh

Bandaroun ki dehshat ki parliament mein goonjh

New Delhi : Lok Sabha mein Bandaroun ki dehshat ka masla uthaya gaya. Qaumi dar-ul-hukoomat Delhi sameit mulk ke mukhtalif shehroun mein Bandaroun ki badhti dehshat masla ek bada masla hai. BJP ki rukan Hema Malini ne waqfa sifar mein yeh masla uthatay hue kaha ke unke parlimani halqay Mathura aur virandavan mein Bandaroun ki dehshat badhne ki wajah se muqami logoun ko rozana pareshaniyon ka saamna karna padh raha hai. Tirth yatra par anay walay aqeedat mandoun ko bhi is se be-had pareshani hoti hai.

Unhon ne kaha ke Virandwan mein bhi ghane jungle hua karte they jahan Bandaroun ko khanay peenay ki koi dikhat nahi thi lekin janglaat ke katne se bandaroun ko khana milna band hogaya aur woh rehaishi ilaqon aur mandiroun ke aas paas mandlatay rehtay hain aur awam ko apna shikaar banatay hain. Mandiroun ke aas paas aqeedat mand bandaroun  ko Kachori samose khilate hain jis se bandar bemaar ho rahay hain.

BJP rukan ne kaha ke intizamia ki janib se kuch Bandaroun ki nas bandi bhi ki gayi hai lekin is se woh aur ziyada mushtael hokar awam par hamlay kar rahay hain. unhon ne hukoomat se bandar safari bananay ki appeal ki hai.

Lok jan shakti party ke chiragh paswan ne Bandaroun ki dehshat ko shadid masla batatay hue kaha ke is se dar-ul-hukoomat ka litence zone bhi mehfooz nahi hai. yahan gharon ke andar Bandar ghus kar logoun ko kaat letay hain aur samaan ka nuqsaan karte hain. unhon ne kaha ke janglaat kaatnay ki wajah se Bandaroun ka ghar barbaad hogaya hai jis se woh hamaray gharon mein arhay hain. Bandaroun ki dehshat ka andaza is se lagaya ja sakta hai ke letance zone mein Bandaroun se mohtaat rehne ka board dekhnay ko milta hai.

Trinamool ke sudeep ne Bandaroun ki dehshat ko ek shadeed masla batatay hue hukoomat se iska hal nikaalne ki appeal ki hai. unhon ne kaha ke tirth asthaloun par bandar aksar aqeedat mandoun ko apna shikaar banatay hain aur kabhi kabhi logon ka samaan cheen kar bhaag jatay hain. –YTN STAFF