Hyderabad : TPCC ke saddar Uttam kumar reddy ny aaj kaha hai ke woh anqareeb munaqqid honay walay baldeati intikhabaat ke liye tayari ke tor par cadre tayyar karne ke liye reyasti dar-ul-hukoomat mein ghar ghar jaakar intikhabi muhim chalayeinge.
Media numaindon ke sath ghair rasmi baat cheet mein, TPCC sarbarah ne mujawaza municipal act par unhon ne kaha ke mujawaza act mein awaami numaindon ke ikhtiyarat zilai collectors ko muntaqil karna zulm hai. woh adalat mein isko challenge karenge. Uttam kumar ne kaha ke mujawaza municipal act se wazeer-e-aala KCR ke aamranah rujhanaat ka wazeh tor par inkishaaf hua hai.
Haritha haram programme par wazeer-e-aala ke tabsaray ka hawala dete hue, Uttam kumar ne herat ka zahir kiya ke ”wazer-e-aala ya unke kunba ke saathi Haritha haram programme ki nakami parkia apne ohdon se istifa dainay ke liye tayyar hain.?
RTI act mein tarmeem par BJP ko TRS arkaan ki himayat par, TPCC ke sarbarah ne kaha ke ”in dono fareeqon ke mubaiyan gehri dosti ki ek behtareen misaal hai. unhon ne yeh bhi ilzaam lagaya ke riyasat mein TRS aur BJP ke darmiyan farzi ladai hui hai. congress akailey hi riyasat mein TRS ki mutabadil hai. unhon ne wazeh kiya ke BJP ki firqa waranah Siyasat , riyasat mein kaam nahi karegi.
Sabiq wazeer MLA Sridhar Babu ne ilzaam lagaya ke reyasti hukoomat ne aeen mein 74th tarmeem ke jazbay ko kamzor kar diya hai. unhon ne mutalba kiya ke reyasti hukoomat act mein munasib tarameem ke baad hi baldeati intikhabaat karaye. –YTN STAFF