Friday, April 26, 2024
HomeSliderBaldi Iintekhabaat Sschedule Ke Mmutabiq Karwanay Ka Riyasti Election Commission Ka Elaan

Baldi Iintekhabaat Sschedule Ke Mmutabiq Karwanay Ka Riyasti Election Commission Ka Elaan

Saat shehri baldiati idaron ke liye 30 April ko mujawaza intikhabaat ke ineqad se mutaliq tashweesh ko daur karte hue riyasti election commission ne yeh wazeh kardiya ke intikhabi amal jari rahay ga aur schedule ke mutabiq raye dahi hogi. Riyasti election (SEC) commissionaire Partha Sarathi Garu ne kaha ke reyasti hukoomat ne SEC ko yaqeen dehani karwai hai ke woh tamam ahteyati tadabeer ikhtiyar karne ke alawa Covid ke sad-e-baab ke munasib tarz amal se mutaliq tamam sharait par amal daraamad kere gi.

SEC ne riyasti sarkari ohdedaron se ek ijlaas ke baad, Khammam aur warangal municipal corporation ke sath sath Jadcherla, kuthuru pet aur siddipet ki paanch municipal ke intikhabaat ko agay badhaane ke mansoobah ko mustard karne aur shuru honay walay intikhabi amal ko jari rakhnay ka faisla kiya. GHMC mein lingojiguda division samait 8 baldiyat ke 8 wards mein bhi intikhabaat honge.

ALSO READ:-GWMC aur KMC ke 30 April ko Intikhabaat

SEC ne kaha ke awaami jalson aur rallys par shaam 7 baje se subah 8 baje tak pabandi aed kar di gayi hai aur siyasi jamaaton aur riyasti hukoomat ki taraf se covid sharait par amal karna chahiye. Unhon ne kaha ke siyasi jamaten raye dahi se mamool ke 48 ghanton ke bajaye 72 ghantay qabal is muhim ko khatam kar dein gi.

Congress party ke rehnumao nay Telangana high court mein ek arzi dair ki thi jis mein covid mamlo mein izafay ke paish e nazar baldeati intikhabaat multawi karne ki darkhwast ki gayi thi lekin adalat nay kaha ke woh is muamlay mein mudakhlat nahi kar sakti kyunkay riyasti election commission aur riyasti hukoomat ko faisla karna hai congress ke rehnuma Mohammad Shabir Ali ne high court ke cheif justice ke samnay darkhwast paish ki thi.