Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaBalakot fizai hamlay par film banane ki tayariyaan

Balakot fizai hamlay par film banane ki tayariyaan

Mumbai : Pulwama  dehshat gard hamlay ke baad Hindustani fizaiya ne Pakistan ke balakot mein Jaish-e- Mohammad ke dehshat gard thikanoun par fizayi hamla kiya.Is hamlay mein fizaiya ne dehshat gardon ke kayi thikanoun ko tabah kiya, is waqea ko jald hi badey parday par pesh karne ki koshishen tez kar di gayi hain aur ab Balakot fazai hamlay par film ban’nay wali hai.

Moussola it-tila-aat ke mutabiq film industry ke chaar badey hidaayat kar aur filmsaaz ne mil kar is mauzo par film bananay ka faisla kiya hai .

T-series ke sarbarah Bhushan kumar, filmsaaz Mahaveer jain, Hidaayat kar Abhishek Kapoor aur filmsaaz hidaayat kar Sanjay leela bhansali mil kar is film ko banayenge.

Khabar ke mutabiq ye project abhi research aur development ke marhalay mein hai aur film ki shooting saal ke wast mein shuru honay ka imkaan hai .

Zaraye ke hawalay se bataya ke yeh project film saaz afraad ki janib se hindustani fazaiya ko sataish karne aur izzat dene ki ek koshish hogi. itna hi nahi, film ki kamaai ka bada hissa security force ke imdadi fund mein jaye ga. fil haal is film ki casting jari hai. bataya ja raha hai ke bollywood ke kayi bade super star is film mein kaam karna chahtay hain .

Khabar hai ke indian motion producer pictures  Associations se naam register krwane ke liye rabita bhi kya gaya hai. is mein balakot, Pulwama : The deadly attack, Surgical strike, 2. 0, war room, Hindustan hamara hai aur how’s the josh jaisay tam shaamil hain, aur umeed ki jarahi hai ke yeh film Abhishek Kapoor ki hidaayat mein banegi.

Wazeh rahay ke is se pehlay’ Uri , the surgical strike’ film bani thi jo surgical strike par mubni hai. is film se BJP ne khoob siyasi faida uthaya. Narendra modi se le kar wazeer e dakhla Rajnath singh aur kayi wazeer bhi is film ke Dialog ka istemaal karte rahay hain .
Is ke alawa Modi ki zindagi par bhi ek film banai ja rahi hai. is film mein modi ke kirdaar mein vivek oberoi nazar ayenge. is film mein godhra waqea ko bhi dekhaya gaya hai. yeh bhi khabrein hain ke godhra ko parday par dikhaane ke liye train ki aik poori bogi ko nazr-e aatish kar diya gaya .

 

 

Y THIS NEWS STAFF