Hyderabad: Itwaar ka din aur Bakray ke Gosht ki dukanaat par awam ka hujhoom mein choli daman ka rishta hai aur Lockdown ke douran is martaba bhi Bakray ki Gosht ki dukanaat ke samnay awam ka bada hujhoom dekha gaya jo Hyderabad mein ek nai tasweer pesh kar raha tha. Lockdown mein ashya zarooria ko ziyada qeematoun par farokht karne ke khilaaf wazra aur ohdedaroun ki taraf se yaksaa tanbeeh ki gayi thi is ke bajod kayi dukanaat par Bakray ki Gosht ki qeematein aasman se baati kar rahi then jis ki wajah se bohat se logoun ko khaali haath lotney par majaboor hona pada.
Kuch logoun ne hujhoom dekh kar wapsi ko tarjeeh di jabkay Gosht ki qeemat dosroun ke liye qadray ziyada thi. Itwaar ke roz Bakray ke Gosht ko 800 se 900 rupay fi Kilo ke darmain farokht kiya gaya aur baaz ilaaqoun mein uski qeemat hazaar rupiye se bhi ziyada wusool ki gayi hai. Qeematoun ka inhisaar ilaaqoun mein awam ki muashi haalat par munhasir rahi kyunkay jahan osat darjah ke awam hain wahan Bakray ke Gosht ki qeemat 800 Rupiye ke rahi jabkay jo ilaqay Posh ilaqay kehlate hain wahan Gosht ki qeemat hazaar rupiye wusool ki gayi.
Shehar ke nawahi ilaaqoun mein siwaye Chengicherla , jahan Slaughter House waqay hai, Aur kuch doosri jaghoun par dukandaroun ke paas Bakray dastyab thay aur jo taizi se raqam bananay ke khwaahan thay unhoun ne 800 Rupay fi Kilo par Potla Mutton aur dekar bakroun ka Gosht 800 Rupay fi Kilo farokht kiya. Yaad rahay ke is shoba ke wazeer Talasani Srinivas Yadav ne guzashta haftay wazeh tor par intibah diya tha ke jo bhi Market ki qeematoun se ziyada mein Gosht farokht kere ga is ke khilaaf karwai ki jaye gi. Jab pehli baar Lockdown ka elaan kiya gaya to isi din unhoun ne kaha tha ke Mutton, Murghi aur Machhli ki qeematoun aur farokht ko kuch dinoun mein hamwar kiya jayega. Un ashya ki farahmi mein kami thi, Is ke nateejay mein taajiroun ne ek Premium par Mutton ka mutalba kiya aur farokht kiya.
Mukhtalif maqamat shikayaat masool honay ke baad wazeer ne ek aala sathi ijlaas talabb kiya kyunkay shehar mein Mutton, Machhli aur Murghi ki ziyada maang hora hee hai. Unhoun ne mutaliqa ohdedaroun ko hidaayat di ke wo un ashya ki ziyada qeematoun mein farokht ka jaiza len. Talasani ne kaha ke jaisay hi Chief Minister ke Chandrashekhar Rao ne kisanoun aur deegar baradrioun ke liye madad ka elaan kiya tha, Taajiroun ne sorat e haal ka faida uthany ki koshish ki to inhen sakht karwai ka intibah diya gaya. Kisanoun aur kaasht karoun ko muft beej taqseem kiya gaya tha aur is ki pedawar 7 se 10 din mein anay ka imkaan hai. Mehakma ke ohdedaroun ko hidaayat di gayi ke wo is baat ko yakeeni banaye ke tarkarioun ko aam qeematoun par farokht kiya jaye. Taham, Dukandaroun ne wazeer ke intibah ke baad bhi apni maan manyoun mein masroof nazar aaye hain.
Nampally Railway Station ke peechay ek dukandaar Mehboob Khan ( Naam tabdeel ) ne kaha ke tajir mutalba ke mutabiq janwaroun ko nahi laa rahay hain. Is ke alawa, Darmiyani afraad ne zindah janwaroun ki qeematoun mein izafah kiya hai aur isi wajah se un ke ( farokht kandagan ) paas is ke siwa koi charah nahi hai ke wo qeemat mein izafah kar dein. Nampally ke Market ke rehaishi Afroz Khan ne kaha ke is ne Mutton ki qeemat dekh kar gosht ke bajaye sere ka gosht kharidne ko tarjeeh di.
Gurram Guda mein rehne walay Tabyan ne qeemat ke Board ko dekh kar Mutton khareeday baghair hi ghar lout gaye. Tabyan ne kaha, Mutton farosh ne hujhoom dekh kar sarfeen ko Token jari kardiye. Ek Mutton farosh ne is ki tasdeeq karte huve kaha ke samaji faaslay ko barqarar rakhnay ke liye Token jari kardiye gaye hain. Unhoun ne kaha ke sarfeen ne Token ikathay kiye aur apni baari ka intezaar kiya. Tolichowki mein muqeem ek Bachelor Azhar Khan Mutton khareeday baghir hi wapas aagaya kyunkay qeemat Board par fi Kilo 800 rupay darj tha. –YTN STAFF