Monday, April 29, 2024
HomeIndiaBairstow Hindustan wapsi aur behtar muzahiron ke liye pur-azm

Bairstow Hindustan wapsi aur behtar muzahiron ke liye pur-azm

Hyderabad: England ke jarehana wicket keeper Batsman Jonny Bairstow ne aiteraaf kiya ke aglay mahinay Hindustan ke khilaaf pehlay 2 test matchon se bahar hona  Mushkil hai lekin unhon ne kaha hai ke waqfay lenay ke liye koi dosra maqam nahi hai aur jab woh baad mein team mein wapas ayenge to woh  behtar muzahirey karenge. Bairstow, sam curran aur mark wood ko english selectors ne 5 feb ko Chennai mein shuru honay walay pehlay do test matchon mein aaraam diya  hai aur is faislay par England ke sabiq captain Michael won aur kyu peterson ne tanqeed ki hai.

Dora-e-hind mein England ke liye  char test, paanch T20 aur teen ODI match shaamil hain.

Is series ke zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue Bairstow ne kaha hay agar ab woh mujhe aaraam nahi dete to kab dete yeh mushkil faisla hai. yeh ek taweel aur masroof tareen season hai  aur afsos ke aap sab kuch nahi karsaktay hain aur tamam muqablon mein team ki numaindagi nahi kar saktay. Aap ko qarantina se nikalne aur apne pyaron ko dekhnay ki zaroorat bhi hoti  hai.

aaraam ke baad  may Hindustan jane ke liye pur-azm hon. England test cricket ki wapsi Bairstow ne Srilanka mein do test muqablon mein 46 ki osat se 139 runs banaye aur England ke 100 se ziyada teen partnerships mein se woh  do mein shaamil thay.

Unhon ne mazeed kaha ke  may kal dressing room mein wapas aakar thoda sa jazbati hua tha jab is baat ki tasdeeq hui ke Hindustan ke khilaaf ibtidayi 2 muqablon ke liye aaraam diya gaya hai. 31 sala wicket keeper batsman ne kaha may bada score karna pasand karoon Bairstow, jinhon ne 72 tst mein 35.03  ki ost se 4169 runs banaye hain unke Hindustan ke sath khush gawaar yaden wabasta hain aur khaas kar IPL mein Hyderabad sun risers ke liye unki captain david warner ke sath opening jodi ko league ki ek kamyaab tareen jori tasawwur kiya jata hai.