Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsBairooni mumalik ke afraad ke Iqama mein 3 mah ki towsee

Bairooni mumalik ke afraad ke Iqama mein 3 mah ki towsee

Dubai: UAE ne kaha hai ke tamam ghair mulkioun ke Iqama mein December tak towsee kardi gayi hai khuwa wo mulk mein mojood hon ya beroun mulk mein hon. Muqami akhbar ke mutabiq mehakma Iqama ne kaha hai ke yakum March ke baad jin ghair mulkioun ke Iqama khatam huve hain, Un ke Iqamas mein December ke aakhir tak towsee tasawwur ki jayegi. 

Mehakmay ne kaha hai ke wo ghair mulki jo beroun mulk mein hain aur un ke Iqama nafiz ul amal hain wo yakam June se chalaye jaaney wali parwazoun ke zariye wapas aasakte hain. Nafiz ul amal Iqama holder ya wo ghair mulki jin ke Iqama khatam ho chukay hain, Wo sab mehakma Iqama ki Website par apna indraaj karwaen taakay inhen mulk mein daakhil honay ke liye waqti Visa jari kiya jaye. –YTN STAFF