Friday, May 3, 2024
HomeIndiaBairooni mumalik jane walay zaireen ko Income Tax Return jama karne se...

Bairooni mumalik jane walay zaireen ko Income Tax Return jama karne se mustashna qarar diya jaye

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizi ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein markazi hukoomat se mutalba kiya hai ke bairooni mumalik jane walay zaireen ko Income Tax Return jama karne se mustashna qarar diya jaye. Income Tax ke naye usool ke tehat 2 lakh rupiye ya is se ziyada kharch karne walay bairooni mumalik ke aam safar ya mazhabi safar par jane ke liye Income Tax Return jama karne ki lazimiat se lakhoon ghareeb hajj aazmeen buri terhan mutasir hunge. Hajj ke liye jane walay beshtar aazmeen Islam ki bunyadi tareen mazhabi fareeza ko poora karne ke liye jatay hain. Bohat se ghareeb loog jo 2 waqt ki roti ke liye jad-o-jehad karte hain woh apne mamooli

aamdani se saloon aur dahaiyo tak bachat karkay Hajj par jatay hain. Un ko Income Tax Return jama karne ko kehna un ki omar bhar ki khwahish ko anjaam dainay ki arzoo par pani phairnay ke mutradif hoga. SDPI markazi hukoomat se par zoor mutalba karti hai ke woh aazmeen hajj ko Income Tax Return jama karne ki lazimiat se mustashna qarar day.