Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaBain ul aqwami shakhsiyation ki kisaan tehreek ki himayat par hukoomat chiragh-pa

Bain ul aqwami shakhsiyation ki kisaan tehreek ki himayat par hukoomat chiragh-pa

New Delhi: Hindustan ne kisaan tehreek ke silsilay mein maaroof bain ul aqwami shaksiyatoun ke tabsare ko ghair zimmedarana qarar dete  hue unhen mashwara diya hai ke aisi tehrikoun ko hindustan ki jamhoori riyasat  ke tanazaru may dekha jana chahiye aur koi bhi tabsare karne se pehle haqaiq ko pehle samjhna chahye.

Wizarat-e-kharja ne yahan ek bayan mein kaha hai ke Hindustan ki parliment ne behas wo mubahisay ke baad zaraat ke shobay mein behtari laane ke liye qawaneen nafiz kiye hain.

Yeh islahat kisanon ke liye mazeed ikhtiyarat aur market tak barah-e-raast rasai ko yakheeni banati hain aur muashi tor par munafe bakhash zaraat ki raah bhi hamwar karti hain.

Hindustan ke kuch hissoun ke kisanoun ke ek chotey se tabqo ko un islahat par kuch aiteraaz hai. Muzahireen ke jazbaat ka ehteram karte hue hukoomat ne unke numaindon ke sath kayi mulakaatein kee.

Markazi wazeer-e-muzakraat mein shaamil hain aur ab tak muzakraat ke 11 daur ho chukay hain. Hukoomat ne bhi qawaneen multawi Rakhnay ki tajweez paish ki hai aur yeh tajweez Wazeer-e-Azam ki taraf se aayi hai. Un sab ke bawajood yeh intehai bad-qismati ki baat hai ke kuch khudgharz giroh ehtijaj karne walon par apna agenda musallat karne aur tehreek ko nakaam bananay ki koshish kar rahay hain. Yeh mulk ke yom-e-jamhooria 26 January ke mauqa par dikhagya tha.