Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderBahraini Wazeer Kharja Ziyani Ka Pehla Sarkari dora Israel , kayi umoor...

Bahraini Wazeer Kharja Ziyani Ka Pehla Sarkari dora Israel , kayi umoor par iqdamaat ka ishara

Jerusalem: Dubai,Bahrain aur Israel ne kaha ke woh sifarat khaanoon ko kholinge, online visa system qaim karenge aur jald hi un mumalik ke mabain hafta waar parwazein shuru karenge, jis mein ek wasee tar taawun ke tor par Washington ki taraf se Iran ko alag thalag karne ke muhim ko bhi farogh diya gaya hai.

Bahrain ke ohdedaron ke Israel ke pehlay sarkari doray ke mauqa par khaleeji riyasat ke wazeer kharja Abdul al ziyani ne kaha ke 15 September ko taluqaat ko mamool par laane walay muahiday se pur-sukon aman hua jis se hamaray awam ko wazeh fawaid haasil honge.

UAE jis ne Israel ke sath taluqaat ko mamool par laane ke liye moahida kiya hai isne guzashta mah ek wafad bheja tha jis ne bain goren airport ka safar kiya.

Bahrain ke alchi Jerusalem gaye jisay Israel Amrici himayat ke sath apna dar-ul-hukoomat samjhta hai. Falasteeni jo ek riyasat ke liye mashriqi Jerusalem chahtay hain arab mumalik ki Israel ke sath dakhal andazi se mushtael hogaye hain. Israel aur Palestine muzakraat dobarah shuru karne par ghor karne ke ek mumkina ishara mila hai. Ek senior Falasteeni ohdedar ne media ko bataya ke Falasteeni safeer ehtijaj ke baad wapas bulaye gaye aur Manama jo abu dhabi wapas aajayeenge.

Al-ziyani ka yeh safar Amrici wazeer kharja Mike pompeo ke Israel ke doray ke sath hua jinhon ne Iran ke khilaaf pabandion par dabao daalnay ke baad trump intizamia ki taraf se paye jane walay ilaqai satah par honay walay mamlaat ko saraha.

Pompeo ne bahrain ke apne hum mansab aur Israeli Wazeer-e-Azam Benjamin Netanyahu ke sath milkar kaha Iran jaisay jamhooria ko yeh batana hai ke is khittay mein unka assar wo rasookh kam hota jaraha hai aur woh ab tak alag thalag hain aur jab tak woh apni simt tabdeel nahi karenge, hamesha alag hi rahenge. Al-ziyani ne elaan kiya ke 1st decemeber tak bahrain aur Israeli dakhlay ke vison ke liye online darkhwast day sakenge. unhon ne Israel mein bahrain ka sifarat khanah kholnay ki darkhwast bhi pesh ki aur kaha ke manama ke liye Israeli sifarat khana Manzoor karliya gaya hai.