Tuesday, May 14, 2024
HomeTrending NewsBahrain mein mareezoun ke liye Smart Robot ka istemaal

Bahrain mein mareezoun ke liye Smart Robot ka istemaal

Manama: Bahrain mein coronavirus se bachao ke liye masnoi zahanat ki Technology ki madad li ja rahi hai. Wizarat sahet ne Isolation Wards mein tibbi amlay ke bajaye Smart Robot taynaat kardiye. Tafseelaat ke mutabiq corona se mutasireen ki timar daari aur un ki dekh bhaal ke silsilay mein muawin tibbi amlay aur Nurses ke bajaye Robot ziyada mo-asar saabit ho rahay hain. Is terhan insani jaan ka bachao bhi ho raha hai. Secretary sahet Dr Waleed ne kaha ke corona se mutasireen ki nighdasht ke silsilay mein Robot Program doctors aur Nurses ki madad ke liye bhi banaya gaya hai.

 Smart Robots ki karkardagi ka jaiza bhi liya ja raha hai taakay mustaqbil mein is ka daira wasee kiya ja sakay. Bahraini wizarat sahet ne kaha ke Smart Robots Nurses ke bhi kayi kaam anjaam day rahay hain. Maslan jism ka darjah hararat janchna, Dawayen muqarara waqt par dena, Mareez ki haalat mein honay wali tabdeeli par nazar rakhna, Khoraak pesh karna, Farsh, Bistar, Kamray aur imarat ko Sanitizing karna aisay kaam hain jo Nurses aur muawin tibbi amlay ke bajaye Robot anjaam dainay lagey hain. Yaad rahay ke Bahraini wizarat sahet ne France ki ek company ko Robot faraham karne ka thaika diya tha Francesi company hi sehat ke nighdasht ke silsilay mein Smart Robots ki karkardagi ka jaiza le rahi hai. –YTN STAFF