Manama: Bahrain mein fouj daari adalat ne dehshat gard tanzeem qaim karne ka ilzaam saabit hojane par 30 afraad ko qaid ki saza sunai hai. Saza 1 baras se le kar 30 baras tak ki di gayi hai. Asharq Alawsat ke bamujab 15 afraad par qaid ke sath jurmana bhi lagaya gaya hai. Un par ilzaam tha ke wo dehshat gard tanzeem Al-Wafa mein shaamil hue they. 1 mulzim ko tamam ilzamaat se bari kardiya gaya.
Bahraini adalat ne isi muqadmay mein 1 mujrim ko 15 baras qaid ki saza bhi di hai. Fouj daari ki adalat ne 8 dehshat gardoun ko omar qaid aur 1 lakh dinar jurmane ki saza dainay ka hukum sunaya jabkay saat dehshat gardoun ko 10 baras qaid aur 1 lakh dinar jurmane ki saza di. Bahraini adalat ne isi muqadmay mein 1 aur mujrim ko 15 baras qaid ki saza ka hukum diya jabkay 4 ko 5 baras qaid ki saza sunai gayi. 1 mujrim ko 3 baras qaid aur 9 mujrimoun ko 1 saal qaid ki saza sunai gayi.
Tayyar Al-Wafa Islami tanzeem mobayyana tor par Irani pasdaran inqilab ki hidayat par 2011 mein qaim ki gayi thi. Istighasa ke mutabiq tehqiqaat se pata chala hai ke labnani hizab Allah ke quied Hussan Nasarullah aur un ke naib is tanzeem ko barah-e-raast eaanat faraham kar rahay they. Is tanzeem ka maqsad Bahrain ke aman-o-istehkaam ko teh-o-baala karna raha hai. Istighasa ke mutabiq Al-Wafa Islami ke baazu ke tor par saraya Al-shatar kam kar rahi hai. Ye Irani pasdaran inqilab aur murteza Al-sandi se raabtey mein hai. Usay America ne dehshatgardoun ki fehrist mein shaamil kar rakha hai. –YTN STAFF