Manama: Coronavirus ki wajah se Masjid Haram mein Namaz par pabandi ke baad duniya bhar ke mukhtalif mumulik aur kayi ilaaqoun mein Masajid mein panchgana par bhi pabandi ayed kardi gayi aur ab is mein ek naye naam ka izafah hogaya hai aur wo mulk Bahrain hai. Bahrain ki tamam Masajid mein Jummay aur Jamaat se Namaz Ta-itela sani earzi tor par rokk di gayi hain amal daraamad peer 23 March se maghrib ki Namaz se shuru hogaya, Website ne Bahrain ke khabar-rasan idaray ke hawalay se likha hai ke Sunni Mehakma Uqaaf ne Islami umoor ki Supreme Council ke fatwe ki bunyaad par Jummay aur Jamaat ki Namaz par pabandi lagai hai.
Bahraini mehakma uqaaf ne muqami shehrioun aur Bahrain mein muqeem ghair mulkioun se Appeal ki hai ke wo Namazain gharoun mein ada karen aur is hidaayat ki sakhti se pabandi karen azmaish ki ghadi se chhutkare ki duayen ki jayen, Mehkama Uqaaf ne kaha hai ke har Farz Namaz ke waqt Azaan di jaye gi Azaan band nahi hogi, Muezzin logoun se kahey ga ke wo Namazain apne gharoun mein ada karlen. Darin asna Lebanani mehakma aman aama ne janoobi Lebanon ke mashhoor shehar Saida mein shaam se anay walay Shami aur Palestine panah guzinoun ko Coronavirus se bachanay ke liye ahteyati tadabeer ki hain.
Tafseelaat ke mutabiq mehakma aman aama neh Saida shehar ke shumali Gate par Shami panah guzinoun ke liye qayem Al-Wazayi Complex mein araseem kash adwiyah ka Spray karwaya hai. Mehakma aman aama ne kaha ke Al-Wazayi Complex mein 174 khandan abad hain panah guzinoun ki majmoi tadaad 5965 hai, Lebanani wizarat sahet ne bayan jari kiya hai ke mulk mein Coronavirus se mutasireen ki tadaad 256 tak poanch gayi hai itwaar ke muqablay mein peer ko mazeed 8 afraad ka izafah huva hai. Dosri janib Palestine se milnay wali it-tila-aat ke mutabiq peer ko Coronavirus ka koi naya mareez manzar aam par nahi aaya. –YTN STAFF