Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsBahrain bhi Israel ke sath taluqaat mamool par laane ke liye tayyar

Bahrain bhi Israel ke sath taluqaat mamool par laane ke liye tayyar

Manama: Americi sadar Donald Trump ney kaha ke Bahrain Israel ke sath taluqaat mamool par laaye ga. White House ney kaha Trump ney Bahrain ke King Hammad bin Isa Al Khalifa aur Israeli Wazeer-e-Azam Benjamin Netanyahu se phone ke zariye baat karne ke baad Twit ki. Tenu rehnumao ki taraf se jari mushtarqa bayan mein kaha gaya hai ke dono mumalik Israel aur Bahrain ki mumlikat ke mabain mukammal safarti taluqaat ke qiyam par ittafaq kiya hai.

Bayan mein mazeed kaha gaya hai ke yeh mashriq wasti mein mazeed aman ki tareekhi peshraft hai. Un do mutharrak maashron aur taraqqi Yafta maeshton ke mabain barah-e-raast baat cheet aur taluqaat ka aaghaz mashriq wasti ki misbet tabdeeli ko jari rakhay ga aur khittay mein istehkaam, Salamti aur khushhali mein izafah kere ga.

Netanyahu ne muahiday ko aman ke naye daur ki hesiyat se saraha hai. 13 August ko Mutahidda Arab Emarat aur Israel ne ek muahiday ke tehat taluqaat mamool par laane par ittafaq kiya jis par 15 September ko dastakhat hon ge. Is moahida ke elaan ke baad Bahrain choutha Arab mulk ban gaya hai jis ne kayi dahaiyo qabal Misar aur Urdan ke sath sifarat khaanoon ka tabadlah karne ke baad Israel ke sath apne taluqaat khatam karliye they lekin ab woh Israel ke sath taluqaat ko mamool par laane ke liye amaada hogaya hai.

Guzashta haftay Bahrain ne kaha tha ke woh Israel aur Mutahidda Arab Emarat ke darmain parwaazon ko apni fazai hudood istemaal karne ki ijazat day ga jis ke baad hi yeh isharay mil chuke they ke shayad Bahrain bhi jaldi Israel ke sath dostana taluqaat ko ustuwar kere ga. Yaad rahe ke haliya dinon mein Emarat aur Israel safarti taluqaat ko ustuwar karne ke muahiday par bohat ziyada baatai horahee hai aur America ko yaqeen hai ke Israel. Emarat moheda Arab khittay mein mazeed mumalik ka Israel ke sath taluqaat bahaal karne ki pehal hai.