Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaBahrain aur Saudi arab ko jodnay walay dusray pul ki taamer ka...

Bahrain aur Saudi arab ko jodnay walay dusray pul ki taamer ka elaan

Riyadh : Saudi arab aur Bahrain ko jodnay wala ek aur pul tayyar karne ke liye 11 arab riyal ke muahiday par investment future ke pehlay din Riyadh mein dastakhat kardiye gaye.

Tafseelaat ke mutabiq mansoobah jaiza mukammal ke 5 paanch baras mein mukammal hoga. dono mulkon ko jodnay walay naye pul ka mansoobah tayyar karne ke liye 33.6 million riyal mein ek consultant company ko zimmedaari di gayi hai.

Pul ka contract 3 international companiyon ko 11 arab riyal mein diya gaya hai. un mein consultancy, maliyati, technicial aur qanooni umoor ki companian shaamil hain.

Dastakhat ki taqreeb mein king Fahad pul general corporation ke chairman Ahmed al haqbani, Saudi public tansport ki majlis-e-intizamia ke chairman rameeh, bahrain ke wazeer tansport engineer kamaal bin Ahmed aur king Fahad pul general corporation ke executive chairman engineer amad al mohsin moujood they.

Bahraini wazeer-e-tansport kamaal bin Ahmed ne tawaqqa zahir ki hai ke mansoobah saat baras mein mukammal hoga. yeh pul 25 kilo meter taweel hoga. 5 baras tamirat aur 2 baras counsultnacy umoor mein sarf honge. bahraini wazeer ne media se guftagu mein kaha hai ke is pul ki badolat dono mulk naye daur mein daakhil honge. yeh bada mansoobah hai. jaiza jaat aur thekon ke mamlaat tey karne mein 2 baras lag jayenge.

Saudi arab aur bahrain ko 25 kilo meter taweel king fahad samanadari pul jodey hue hai. iski chowdaai 23.2 meter hai. yeh pul Saudi shehar al khabr ke junoob se bahrain ke dar-ul-hukoomat manama tak mojood hai. iska baqaida iftitah 25 November 1986 ko hua tha. naya pul isi ke bil-muqabil taamer kiya jayega. –YTN STAFF