Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsBahera Ahmar ka sayahati Project Dubai ka hareef nahi

Bahera Ahmar ka sayahati Project Dubai ka hareef nahi

Dubai: Bahera Ahmar Development company ke executive chairman John Begano ney umeed zahir ki hai ke sayahati project ke 50% sayaho ka talluq ghirmumalik se hoga. Hamara project Dubai ya Sharm el-Sheikh ka hareef nahi. Hamari nazar Europe aur Asiayi mumalik ke sayaho par hai.

Website ke mutabiq bahera Ahmar sayahati project ka iftitah 2030 mein hoga. 22 Jazeroun aur Saudi Arab ke 6 badi maqamat par 8 hazaar hotel kamray tayyar kiye jayen ge. Ye mansoobah 28 murabba kilometer ke raqbay par qaim kiya jaye ga.

Bahera Ahmar company ke chairman ne kaha ke pehlay marhalay mein 5 hotel tayyar hon ge. Un ke kamroun ki kul tadaad 3 hazaar hogi. Ye 5 jazero aur 2 badi maqamat par banaye jayen ge. Chairman ne tawaqqa zahir ki ke hamaray yahan 50 feesad Saudi aur 50 feesad ghair mulki sayah ayen ge.

Maghribi Europe aur Asia se ziyada tadaad mein sayahoun ki aamad mutawaqqa hai. Beshtar sayah siro sayahat ke liye taweel aur thaka dainay wala safar karna pasand nahi karte. Hamara ziyada zor muqami sayaho aur mausam garma ke douran GECC mumalik ke sayaho par rahay ga.

Company ke Chairman ne ye bhi kaha ke un ke khayaal mein Dubai , Bahera Ahmar sayahati mansoobay ke liye koi bada challenge nahi banay ga. Mausam garma ke douran ilaqay ke sayah hamaray yahan ayen ge. Mausam garma mein aam tor par sayah Dubai nahi jatay. Dubai ka mausam sakht hota hai jabkay bahera Ahmar ka ilaqa garmi mein pur fiza hota hai.

Unhoun neh mazeed kaha ke mausam sarma mein maghribi Europe se sayah ayen ge aur mausam garma mein asiayi mumalik se. Unhoun neh umeed zahir ki ke hamaray yahan waisay sayah nahi ayen ge jaissa ke bahera Ahmar par waqay misar ke sayahati maqam Al-Ghardaqa jate hai.

Begano neh is yaqeen ka izhaar kiya ke Saudi sayah tatilat guzaarne ke liye Dubai aur Bahrain is liye jatay hain kyunkay un ke paas androon mulk un jaissa koi sayahati maqam nahi hai.