Monday, April 21, 2025
HomeSliderBaghdad mein 100 sala qadeem Coffee Shop, Awaami tawajah ka markaz

Baghdad mein 100 sala qadeem Coffee Shop, Awaami tawajah ka markaz

Baghdad: Iraqi dar-ul-hukoomat Baghdad ki tareekhi sadak Arab duniya ke maaya naz shayar Almutanabbi  se mosoom hai. Qadeem tarz ki imarat wahan se guzarnay walay har shakhs ko apni janib mutwajjah karti hai. Sadak se guzarnay wala pesha war photographer ho to wo  is ki tasweer liye baghair nahi reh sakta. Tafseelaat ke mutabiq bahraini photographer Hassan Alnasheet ke bamujab Baghdad mein Almutanabbi Street se guzar huva to usay chaaye ke chamchu ke bajne aur ek qadeem imarat mein logoun ki guftagu ne apni janib mutwajjah karliya.

Maloom karne par pata chala ke ye wo tareekhi imarat hai jis ka iftitah 100 baras qabal 1917 mein huva tha. Alnasheet ne ju ketaboun ke dildada hain aur Mutanabbi Street kutub faroshoun ke hawalay se pooray ilaqay mein apni shohrat rakhti hai. Unhoun ne kitaaben kharednay ka programme banaya lekin abhi ye kaam nahi dainay paaya tha ke Alshabandar qahoh khanah un ki dilchaspi ka mauzo ban gaya. Hassan Alansheet ne kaha hai ke Iraq sameit beshtar Arab mumalik mein awaami Qahwa khane apni ek tareekh rakhtay hain. Alshabandar Qawah khane anay walay mukhtalif zouq, Mizaaj aur mioyaar ke loog hain. Is ke roshan daan dawat nazarah dete hain.

Bahraini photographer ne Alshbandar Khawa khane ke maalik Mohammad Alkashli se daryaft kiya ke is tareekhi imarat ki kahani kiya hai. Alkashali ne kaha hai ke is imarat ki tareekh Baghdad mein Alshbandar ke naam se qaim pehlay press se jari hui hai. Moose Alshbandar is ke maalik they. Wo 1941 mein Iraq ke wazeer kharja bhi banay. Mohammad Sayeed Aljalbi ne 1917 mein Alshbandar Khawa khanah qaim kiya. Ye is zamane mein noori Alsayed aur Abdul Kareem Qasem jaisay naamwar syasatdanoun ki baithak huva karta tha.

Ye qehwa khanah sarkari idaroun se qareeb waqay tha. Is wajah se aala ohdedar is ka rukh karte they. Alshbandar Khawa khanah nah sirf ye ke mumtaz sayasatdanou ka markaz raha balkay Arab duniya ke mukhtalif Adeeb ,o shayer aur qalamkaroun ka saqafati markaz bhi bana raha. March 2007 qehwa khane ke liye saneha ka saal saabit huva. Alshbandar qehwa khane ke qareebkar dhamakay se qehwa khane ka bara hissa aur aas paas ki dukanain mutasir huien. Car dhamakay ke nateejay mein 68 afraad jaan se haath dho baithy they. Un mein Khawa khane ke maalik ke 4 betay aur pota shaamil tha.

Hukoomat, Tajir aur gahkoun ki findng se qehwa khanah dobarah taamer kiya gaya. Naye Khawa khane ke 2 naam hogaye. Ek tareekhi naam Alshbandar aur naya naam Alshyeda Khawa khanah hai. Asar haazir mein bhi shura, Qabail ke sardar, Wukla, Qalamkar aur awam ul naas badi tadaad mein yahan atay hain. Khewa khanah ka khariji manzar nama aaj bhi waisa hi jaissa 1917 mein tha. Is Khawa khane ke kayi roshandan hain ju Mutanabbi Street par waqay kutub khaanoon ki taraf khultay hain. Is ki diivaaren aaj bhi mumtaz shaksiaat ki tasaveer aur husn karkardagi ke asnad se saji hui hain. –YTN STAFF