Sunday, May 12, 2024
HomeSliderBaghair sutunoun wali sab se badey gumbad wali Jama Masjid

Baghair sutunoun wali sab se badey gumbad wali Jama Masjid

Riyadh: Saudi arab ke shehar Tabuk mein baghair sutoon ke sab se badey gumbad wali jama masjid mein pehli martaba jumma ki namaz ada ki gayi.

Ye mashriq wasti mein sutoonoun ke baghair sab se bade gumbad wali Jama masjid hai. Namaz-e-jumma mein Tabuk university ke asateza, muntazmeen, talba aur aam shehri shareek hue.

Tafseelaat ke mutabiq Tabuk  ki sab se badi Jama masjid Tabuk  university ne apne camps mein taamer karai hai aur yeh fun taamer ka shahkaar hai. Jama masjid ka gumbad apni noiyat ka munfarid aur sutoonoun se azad hai. iski chhat ka androoni hissa aur deewarein sheeshay ke cover ke sath khobsorat naqsh-o-nigaar se aaraasta hai.

Tabuk  university ki Jama masjid mein pehla jummay coronavirus ko phelnay se roknay ke liye hifazati intizamaa ke sath ada kiya gaya. Namazi safoun mein ek dosray se faaslay par they. hifazati mask aur dastanay pehnay hue they. masjid mein daakhil hotay waqt tamam namazion ka darjaa hararat jancha kiya gaya.

Masjid ka kul Raqba 71 so murabba meter hai. Jama masjid mein do minar hain aur dono 50, 50 meter oonchey hain. Masjid ki gumbad numa chhat mein dhoop aur qudrati roshni ke liye roshan-daan banaye gaye hain. masjid ka poora design be-had munfarid hai.

Masjid mein gumbad ki taraf se qudrati roshni ka mahol dost nizaam banaya gaya hai aur central A/c system hai. aag se bachao ke liye paishgi intibahi nizaam bhi lagaya gaya hai. Masjid ke kharji sehan ka Raqba 20 hazaar murabba meter se ziyada ka hai. 380 gadiyon ke liye parking ka intizam hai jabkay kharji sehan sabza zaroun se aaraasta hain. –YTN STAFF